لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Maula Zawwar bana de

Ali Shanawar and Ali Jee2019
ShiaNohaLyrics
Labbaik yaa Hussain ..(4) Hussaina Hussaina Hussaina Hussaina ..(2) Yaa Hussain   Yaa Hussain Yaa Hussain  Shahe karbala Aap hain karim baa khuda Puri kijiye meri duaa Iss baras ke arbaeen me karodo Zaereen mein.... Naam ho mera likha hua.. Yaa maula Yaa maula, Maula Zawwar Bana De ..(2) Mujhe ek baar sada de meri qismat ko jaga de. Apna Darbar dikha de Yaa Maula Yaa Maula, Maula Zawwar Bana De ..(2) Dil me meri rooh me armaan basa hai Khaabo khayalo me mere karbobala hai Aankho me aansu hain labo par yeh Dua hai Mere tadapne ki wajah tumko pata hai Mujhe ek baar sada de meri qismat ko jaga de. Apna Darbar dikha De Yaa Maula Yaa Maula, Maula Zawwar Bana De ..(2) Aankhe meri kaash ke darr aapka dekhe Haath mere rauze ki jaali ko jo thaame Lab yeh mere aap ki chaukhat ko jo chume Log mujhe aashiq-e-Shabbir pukare. Mujhe ek baar sada de meri qismat ko jaga de. Apna Darbar dikha De Yaa Maula Yaa Maula, Maula Zawwar Bana De ..(2) Shaano pe main rakkhe hue shaal-e-aza ko Ghar se main jis waqt chalu Karbobala ko Baazu pe bandhunga main taaviz-e-Raza  ko Maa meri seene se lagaegi duaa ko Mujhe ek baar sada de meri qismat ko jaga de. Apna Darbar dikha De Yaa Maula Yaa Maula, Maula Zawwar Bana De ..(2) Karbobala shehar-e-Najaf se main badhunga Sardi ho garmi ho main paidal hi chalunga Raah me Zawwar-o-ki khidmat maim karunga Parcham - e - Abbas utha kar main Rakhunga. Mujhe ek baar sada de meri qismat ko jaga de. Apna Darbar dikha De Yaa Maula Yaa Maula, Maula Zawwar Bana De ..(2) Bhula Nahi, Bhula Nahi, Bhula Nahi aapke Akbar ki jawani Yaad hai Asgar Ki mujhe tishna dahani Ban gaya Zawwar toh mannat hai yeh mani Naam-e-Sakina (s.a) pe pilaunga main paani. Mujhe ek baar sada de meri qismat ko jaga de. Apna Darbar dikha De Yaa Maula Yaa Maula, Maula Zawwar Bana De ..(2) Shah-e-Karbala - Yaa Hussain   Yaa Hussain Shah-e-Karbala - Yaa Hussain   Yaa Hussain Aye Shah - e - karbobala mujhe Zawwar Bana Yeh tammanna hai meri apna Darbar dikha Yaa Hussain  Yaa Hussain Chal diye ahle aza sar pe Parcham hai Khula Sab ki manzil hai wohi karbala karbobala Mujhe ek baar sada de meri qismat ko jaga de. Apna Darbar dikha De Yaa Maula Yaa Maula, Maula Zawwar Bana De ..(2) Haan Mujhe apna bana le Aye mere Maula Hussain Mujhe ek baar sada de Aye mere Maula Hussain Mujhe maulai bana de Aye mere Maula Hussain Meri taqdeer jaga de Aye mere Maula Hussain Maula Karbala Bula le Aye mere Maula Hussain Maula Karbala Bula le.... Maula Karbala Bula le.... Mujhe ek baar sada de meri qismat ko jaga de. Apna Darbar dikha De Yaa Maula Yaa Maula, Maula Zawwar Bana De Maula Zawwar Bana De ..(2) Labbaik yaa Hussain ..(5).