لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Aa asghar

Ali Shanawar and Ali Jee2020
ShiaNohaLyrics
Aa ali asghar aa..(5) Aaa asghar bin tere, mai chayn kaha'n se paau..(2) aa laut ke aaja laal tere, jee bhar ke naaz uthau.. Aaa asghar bin tere, mai chayn kaha'n se paau..(2) 1. Meri aankh ka taara hai tu mujhko jaan se pyaara hai maa dukhiyari ke jeene ka tu hi laal sahara hai tujhe chhod ke tanha maqtal mein mai kaise shaam ko jaau Aaa asghar bin tere, mai chayn kaha'n se paau..(2) 2. Teri wo masoom adayein teri yaad dilati hai tere pyaar ki wo sab baatein mujhko bohot rulati hai mai teri judayi mein beta ro ro ke mar na jaau Aaa asghar bin tere, mai chayn kaha'n se paau..(2) 3. Loriyo'n wale yeh to tere naaz uthane ke din the aankho'n mein teri khushiyo ke khwab sajane ke din the aa laut ke ashgar aa beta tera kurta mai badlau Aaa asghar bin tere, mai chayn kaha'n se paau..(2) 4. Bhool nahi sakti maa asghar pyaase hoth tere beta khaali god hai aur zindaa'n hai aaja maa ke paas aaja aa nanhe mujahid mai teri ashko se pyaas bujhau Aaa asghar bin tere, mai chayn kaha'n se paau..(2) 5. Kitni hai bechayn sakina tere naaz uthane ko subho shaam tarasti hai woh tera dil behlane ko teri laadli behen sakina ka mai dil kaise behlau Aaa asghar bin tere, mai chayn kaha'n se paau..(2) aa laut ke aaja laal tere, jee bhar ke naaz uthau.. Aaa asghar bin tere, mai chayn kaha'n se paau..(2) Aa ali asghar aa...