لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Jaan Ali Akbar

Ali Shanawar and Ali Jee2020
ShiaNohaLyrics
Ali jaan ali akbar..(2) Wa waila wawaila shud, wa waila wawaila shud..(2) shabihe payambar, haye haye ali akbar..(2) kaise jiyegi tere bin haaye ye madar, aye jaan ali akbar shabihe payambar, haye haye ali akbar..(2) kaise jiyegi tere bin haaye ye madar, aye jaan ali akbar 1. Beta ali akbar madar ko pukaro wa waila wawaila shud ghumzada madar ko chehra to dikhalo wa waila wawaila shud khaak se utho, mujhko bulalo..(2) maa hai pareshaan kaha ho mere dilbar aye jaan ali akbar 2. Qaid hui beta zindaan chali maa wa waila wawaila shud saare shahido'n ka Allah nigehbaa'n wa waila wawaila shud ghar hua veera'n aao meri jaa'n..(2) hogaya sajjad akela mera dilbar aye jaan ali akbar 3. Maa ka ye armaa'n tha tujhe dulha banati wa waila wawaila shud maa teri dulhan ko naazo se sajati wa waila wawaila shud ho nahi paayi aas ye puri..(2) aise gaye, aaye na maida'n se palatkar aye jaan ali akbar 4. Maa hai rasan basta, sar tera sina par wa waila wawaila shud balwa e aada mein laaya hai muqaddar wa waila wawaila shud aye mere pyaare, noke sina se..(2) dekhle maa teri hai balwe mein khule sar aye jaan ali akbar 5. Beta ali akbar madar ka hai waada wa waila wawaila shud sog manaungi ta umr tumhara wa waila wawaila shud ab na piyungi, thanda mai paani..(2) ab na mai baithungi kabhi saaye mein jakar aye jaan ali akbar 6. Puch liya mujhse sughra ne jo tera wa waila wawaila shud kaise bataungi, akbar nahi aaya wa waila wawaila shud royegi sughra, tadpegi sughra..(2) tere bina kaise jiyegi teri khwahar aye jaan ali akbar Wa waila wawaila shud, wa waila wawaila shud..(2)