لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Akbar Ki Sawari

Ali Shanawar and Ali Jee2022
ShiaNohaLyrics
Wa wayla, Haye Wayla(2) Na Ja Akbar Na Ja Na Ja Akbar Na Ja khaimon se sada ye aati hai Akbar ki sawari jaati hai Akbar ki sawari jaati hai Khaimon me bapa hai wawaila(2) Akbar ki sawari jaati hai. Na Ja Akbar Na Ja Na Ja Akbar Na Ja khaimon se sada ye aati hai Akbar ki sawaari jaati hai Hum shakl e Payambar jata hai dil baap ka dooba jaata hai,(2) dil baap ka dooba jaata hai, Sar peet rahi hai maañ dukhiya Sar peet rahi hai maañ dukhiya Akbar ki sawaari jaati hai Khaimon me bapa hai wawaila Akbar ki sawaari jaati hai Akbar ki sawaari jaati hai 18 baras naazoñ se jise Parwaan chadhaya Zainab ne,(2) Parwaan chadhaya Zainab ne, Gulshan hai ujda Zainab ka Gulshan hai ujda Zainab ka Akbar ki sawari jaati hai. Khaimon me bapa hai wawaila Akbar ki sawaari jaati hai Na Ja Akbar Na Ja Na Ja Akbar Na Ja khaimon se sada ye aati hai Akbar ki sawari jaati hai Kehti thi Sakina ro ro kar Laut aao Bhai Ali Akbar,(2) Laut aao Bhai Ali Akbar Qadmoñ se lipti masooma Qadmoñ se lipti masooma Akbar sawari jaati hai. Khaimon me bapa hai wawaila Akbar ki sawaari jaati hai Akbar ki sawaari jaati hai Akbar se sakina jab lipti Shabbir ko sughra yaad aayi,(2) Shabbir ko sughra yaad aayi Use kaise batayeñ ye baba Use kaise batayeñ ye baba Akbar sawari jaati hai. Khaimon me bapa hai wawaila Akbar ki sawaari jaati hai Na Ja Akbar Na Ja Na Ja Akbar Na Ja khaimon se sada ye aati hai Akbar ki sawari jaati hai Kuch der ruko beta Akbar mai tumko bana to lu dulha(2) Mai tumko ko bana to lu dulha Afsos na raas aaya sehra Afsos na raas aaya sehra Akbar sawari jaati hai. Khaimon me bapa hai wawaila ×2 Akbar ki saawari jaati hai Akbar ki saawari jaati hai Teri yaad bahot tadpayegi Maañ jeete ji mar jayegi,(2) Maañ jeete ji mar jayegi Maadar ke labon par hai nauha Maadar ke labon par hai nauha Akbar ki sawari jaati hai. Khaimon me bapa hai wawaila ×2 Akbar ki saawari jaati hai Na Ja Akbar Na Ja Na Ja Akbar Na Ja Khaimon se sada ye aati hai Akbar ki sawari jaati hai _Jaao Akbar, jaao Akbar_ Shah kehte the jaao Akbar Mujhe dekhte rahna mud mud kar, (2) Mujhe dekhte rahna mud mud kar Deta hai sada boodha baba Deta hai sada boodha baba Akbar ki saawari jaati hai Khaimon me bapa hai wawaila ×2 Akbar ki saawari jaati hai Na Ja Akbar Na Ja Na Ja Akbar Na Ja Khaimon se sada ye aati hai Akbar ki sawari jaati hai Wa wayla Haye Wayla (2)