لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Jana hai karbala

Ali Shanawar and Ali Jee2022
ShiaNohaLyrics
Hussain.. Hussain hussain hussain..(2) Kehte hai jab bhi jisko bhi jana ho karbala..(2) zawwar jisko banna ho maula hussain ka lazim hai iske waaste abbas ki riza..(3) Abbas.... Abbas bula lo, zawwar bana do ek baar hume roza e shabbir dikha do maula mere maula, mere maula, mere maula Jana hai karbala jana hai ba khuda maula ke dar hume jana hai Abbas bula lo, zawwar bana do ek baar hume roza e shabbir dikha do maula mere maula, mere maula, mere maula Badshah e karbala, aye shahe nainawa jald bulana hume jald bulana 1. Jab aayi chand raat muharram ki ya khuda aye kaash karbala mein ho hum bhi kisi jagah manzar wo hum bhi dekh le parcham kushayi ka labbaik ya hussain, hamari bhi ho sadaa paana hai ye sharaf pana hai sheh ke zawwaro mein naam likhwana hai Jana hai karbala jana hai ba khuda maula ke dar hume jana hai Abbas bula lo, zawwar bana do ek baar hume roza e shabbir dikha do maula mere maula, mere maula, mere maula Jana hai.. 2. Maula tumhare chahne walo ki hai sadaa karna hai karbala mein hi ashure karbala maula nazar ke saamne roza ho aapka matam zari ke saamne ho aapka bapa kehna hai bus yehi kehna hai humko bhi maula ke saaye mein rehna hai Jana hai karbala jana hai ba khuda maula ke dar hume jana hai Abbas bula lo, zawwar bana do ek baar hume roza e shabbir dikha do maula mere maula, mere maula, mere maula Badshah e karbala, aye shahe nainawa jald bulana hume jald bulana 3. Maula hume bhi apni ziyarat karaiye aye fatima ke laal hume bhi bulaiye zawwar karbala ka hume bhi banaiye jageer bawafa ki hume bhi dikhaiye aana hai roz woh aana hai zikr e maula karne, humko bhi aana hai Jana hai karbala jana hai ba khuda maula ke dar hume jana hai Abbas bula lo, zawwar bana do ek baar hume roza e shabbir dikha do maula mere maula, mere maula, mere maula Jana hai.. 4. Dekhe nazara hum bhi waha arbaeen ka paidal safar najaf se kare suye karbala baate sabeel aur tabarruk jagah jagah jaari rahe aza e hussaini ka silsila karna hai ye safar karna hai sang azadaro ke hum ko bhi jaana hai Jana hai karbala jana hai ba khuda maula ke dar hume jana hai Abbas bula lo, zawwar bana do ek baar hume roza e shabbir dikha do maula mere maula, mere maula, mere maula Badshah e karbala, aye shahe nainawa jald bulana hume jald bulana 5. Ye arzu hai karbobala jab bhi jaenge hum khaimagah mashk o alam leke jaenge abbas ka hussain ko nauha sunayenge sadaat ke ujad ne ka matam karaenge rona hai ha hume rona hai karbala walo ka sog to hona hai Jana hai karbala jana hai ba khuda maula ke dar hume jana hai Abbas bula lo, zawwar bana do ek baar hume roza e shabbir dikha do maula mere maula, mere maula, mere maula Jana hai.. Katkar gire the baazu e abbas jis jagah wa hasrata wa ghurbata... 6. Katkar gire the baazu e abbas jis jagah akbar jawan ka jaha'n chalni jigar hua asghar ne khaya has ke jaha'n teer e hurmala dooba jaha'n pe khoon mein lashkar hussain ka jaana hai har jagah jaana hai jake har turbat par ashk barsana hai Jana hai karbala jana hai ba khuda maula ke dar hume jana hai Abbas bula lo, zawwar bana do ek baar hume roza e shabbir dikha do maula mere maula, mere maula, mere maula Badshah e karbala, aye shahe nainawa jald bulana hume jald bulana 7. Maula hussain aapne kya kaam kar diya apne lahu se khaak ko khake shifa kiya maula yehi hai aapke zawwar ki dua hum bhi padhe namaz sare arz e karbala sunna hai han hume sunna hai haram e maula ki wo azaa'n sunna hai Jana hai karbala jana hai ba khuda maula ke dar hume jana hai Abbas bula lo, zawwar bana do ek baar hume roza e shabbir dikha do maula mere maula, mere maula, mere maula Badshah e karbala, aye shahe nainawa jald bulana hume jald bulana..(3)