لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Jawan ali akbar

Ali Shanawar and Ali Jee2022
ShiaNohaLyrics
Ali ali ali ali akbaram..(2) rahate jaan.. wirde zabaan.. sa'ate azaan.. jaan ali akbaram jawan ali akbar.. naujawan ali akbar..(2) aye gule laila ali jaan ali akbaram jawan ali akbar.. naujawan ali akbar..(2) naujawan ali akbar .. naujawan ali ..(2) 1. Aye dilo jaan e pidar, shakl e payambar akbar aye qaraar e dile zainab, gule madar akbar misle abbas e jari, shere dilawar akbar yusuf e fatima zehra, dil e haider akbar husne zaman akbar, naaz e chaman akbar aye husne zaman akbar, aye naaz e chaman akbar aye gule laila ali jaan ali akbaram jawan ali akbar.. naujawan ali akbar..(2) naujawan ali akbar .. naujawan ali ..(2) 2. Maula shabbir ne manga hai duao'n mein tumhe ghazi abbas ne rakha hai panaho mein tumhe milke do maao ne paala hai ridao'n mein tumhe rabbe akbar ne rakha noori hijabo mein tumhe naaz e dile sarwar, shabih e payghambar aye naaz e dile sarwar, aye shabih e payghambar aye gule laila ali jaan ali akbaram jawan ali akbar.. naujawan ali akbar..(2) rahate jaan.. wirde zabaan.. sa'ate azaan.. jaan ali akbaram jawan ali akbar.. naujawan ali akbar..(2) 2. Boli laila ke gale mujhko lagate jao boli zainab mujhe surat to dikhate jao bole shabbir meri aas bandhate jao mujhko nana ki ziyarat to karate jao haye lahu mein tar, hum soorat e paighambar haye lahu mein tar, hum soorat e paighambar aye gule laila ali jaan ali akbaram jawan ali akbar.. naujawan ali akbar..(2) naujawan ali akbar .. naujawan ali ..(2) 3. Kaise maqtal tumhe jane ki ijazat dedu kaise khaime se nikalne ki ijazat dedu kaise is pyaas mein ladne ki ijazat dedu maa hu kaise tumhe marne ki ijazat dedu jaan e dile madar, ye maa ho fida tumpar aye jaan e dile madar, ye maa ho fida tumpar aye gule laila ali jaan ali akbaram jawan ali akbar.. naujawan ali akbar..(2) rahate jaan.. wirde zabaan.. sa'ate azaan.. jaan ali akbaram jawan ali akbar.. naujawan ali akbar..(2) 4. Haaye, Khake seene pe sina zeen se akbar jo gira hogaya khaimo mein kohraam bapa wawaila ye sada dasht mein deta tha ghareeb e zahra haye akbar mera, akbar mera, akbar na raha noor e nazar akbar, aye naaz e pidar akbar aye noor e nazar akbar, aye naaz e pidar akbar aye gule laila ali jaan ali akbaram jawan ali akbar.. naujawan ali akbar..(2) naujawan ali akbar .. naujawan ali ..(2) rahate jaan.. wirde zabaan.. sa'ate azaan.. jaan ali akbaram..(3)