لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Yeh bali sakina hai

Ali Shanawar and Ali Jee2023
ShiaNohaLyrics
Haye sakina, haye haye haye shaam..(4) Din raat sadaa jo aati hai..(2) har dil ko jo tadpati hai Yeh bali sakina hai.. Zinda'n mein jo roti hai, baba ko bulati hai Yeh bali sakina hai.. Din raat sadaa jo aati hai..(2) har dil ko jo tadpati hai Yeh bali sakina hai.. 1. Naazo se pali hai yeh bachhi sab uske naaz uthate the kabhi maa, kabhi baba, bhai, chacha sab ispe waari jaate the kabhi ye godi, kabhi wo godi..(2) masooma ko yaad aati hai Yeh bali sakina hai.. Zinda'n mein jo roti hai, baba ko bulati hai Yeh bali sakina hai.. Din raat sadaa jo aati hai.. (2) har dil ko jo tadpati hai Yeh bali sakina hai.. 2. Baba se bichadh kar beti ne kya kya na masaeb dekhe hai pyasi bhi rahi, qaidi bhi bani zalim se tamache khaye hai jo seena e shah pe soti thi.. (2) ab woh hi khaak pe soti hai Yeh bali sakina hai.. Zinda'n mein jo roti hai, baba ko bulati hai Yeh bali sakina hai.. Haye sakina, haye haye haye shaam..(2) 3. Zindaan ke darr se jo guzre bibi har ek se kehti hai baba se milo to keh dena tumhe yaad sakina karti hai tum paas chale aao baba..(2) ro ro ke jo chillati hai Yeh bali sakina hai.. Zinda'n mein jo roti hai, baba ko bulati hai Yeh bali sakina hai.. Din raat sadaa jo aati hai.. (2) har dil ko jo tadpati hai Yeh bali sakina hai.. 4. Ashoor se lekar zindaa'n tak har zulm use yaad aata hai abbas, akbar, qasim, asghar baba ka ghum tadpata hai zindaan mein matam kar kar ke.. (2) jo sab ka sog manati hai Yeh bali sakina hai.. Zinda'n mein jo roti hai, baba ko bulati hai Yeh bali sakina hai.. Haye sakina, haye haye haye shaam..(2) 5. Sajjad se ro ro kehti hai kab milne baba aaenge achhe bhaiyya, ye batla do kya hum bhi kabhi ghar jaenge kabhi bhai se, kabhi amma se..(2) har waqt sawaal jo karti hai Yeh bali sakina hai.. Zinda'n mein jo roti hai, baba ko bulati hai Yeh bali sakina hai.. Din raat sadaa jo aati hai.. (2) har dil ko jo tadpati hai Yeh bali sakina hai.. Haye sakina, haye haye haye shaam..(4) Yeh bali sakina hai..