لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Har dam nara

Ali Shanawar and Ali Jee2025
ShiaNohaLyrics
Ya Hussain, Ya Hussain Jaha'n hairan hai Jaha'n hairan hai Jaha'n hairan hai, saara yeh kya hai yeh kaisa soz o ghum ka silsila hai yeh kiska ghum dilo par chhaa gaya hai Hussain ibn e Ali woh badshah hai har qadam dil ki sada hai har qadam yeh har jagah hai har qadam, har qadam, har qadam har dum naara Maula Maula Hussaina Ya Hussain salawatullah Maula Maula Hussaina Hum Haideri, Hum Fatemi, Hum karbalayi hai wallah Har qadam har dum naara Maula Maula Hussaina Hussain... Hussain.. Wallah Wallah Kya ishq e khuda hai wallah yeh aap se hai jaana kya raaz hai mar kar jeena is raaz ko pehchana hairan hai, qurban hai, is baat par hum ba khuda jaan o dil tum par fida Maula Maula hussaina Har qadam har dum naara Maula Maula Hussaina Ya Hussain salawatullah Maula Maula Hussaina Ya Hussain, Ya Hussain Hussain Ya Hussain Hussain Hussain Ya Hussain Hussain Hussaina Hussain... Ghum maula Hussain tumhara mere dil ka sahara hai ghum bhool gaye hum apna ghum yaad tumhara hai nauha padhein, matam karein, ghum yeh manaye rozana matami ki hai sadaa Maula Maula hussaina Har qadam har dum naara Maula Maula Hussaina Hum Haideri, Hum Fatemi, Hum karbalayi hai wallah Har qadam har dum naara Maula Maula Hussaina Hussain... Hussain.. Suno Maula... Mere ghar mein tumhari baatein mere ghar mein azakhana mere ghar mein alam ghazi ka karta hai sadaa saaya yeh raunaqe, ye barkate, hai aapse shukr e khuda Ya Hussain rahmatullah Maula Maula Hussaina Hussain.. Jab kahoge Ya Hussain Jab sunoge Ya Hussain dil ko miljaega chayn Yehi sada e behrobar yehi sada e khushk o tar chalo chalo chalo karbala chalo..(2) dar e hussain par yeh sadaein do waha Khuda to hai waha Khuda to hai, Mustafa bhi hai Murtaza, Hasam, Fatima bhi hai bawafa Abbas bhi hai chalo chalo chalo karbala chalo chalo chalo karbala chalo..(2) Mere Maula... Be chayn hai dil, Be chayn hai dil mere Maula mujhe paas bulaona ek baar tumhi Ghazi ko mera haal sunao na kehna zara, yeh ilteja, puri kare shah e wafa aana hai ab karbala Maula Maula Hussaina Ya Hussain salawatullah Maula Maula Hussaina Ya Hussain, Ya Hussain Hussain Ya Hussain Hussain Hussain Ya Hussain Hussain Hussaina Haaye.. Karbala.. Woh karbobala, ashura wo mashk o alam darya Ya Hussain, Ya Hussain Hussain Ya Hussain Hussain Hussain Ya Hussain Hussain Hussaina Haaye, Woh karbobala, ashura woh mashk o alam darya woh Qasim o Akbar, Ghazi jalta hua har khaima aye karbala, tu hi bata, kya kya sitam sheh par hua haye sakina ke baba Maula Maula hussaina Har qadam har dum naara Maula Maula Hussaina Ya Hussain salawatullah Maula Maula Hussaina Hum Haideri, Hum Fatemi, Hum karbalayi hai wallah Har qadam har dum naara Maula Maula Hussaina Hussain... Hussain Ya Mazloom.. Hussaina ..(4) Mazloom e karbala Mazloom e nainawa har qadam har dum naara Maula Maula Hussaina