لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Labbaik Ya Abbas

Ali Shanawar and Ali Jee2025
ShiaNohaLyrics
Abbas.. Abbas Abbas.. Abbas Labbaika Ya Abbas.. Aflak pukare.. Aflak pukare Hum sab hai tumhare.. Ya Abbas Labbaika Ya Abbas..(2) Ashiqan e bawafa ki aa rahi hai yeh sada Labbaika Ya Abbas..(2) Ya Abbas e Alamdar..(4) 1. Jaise hi mere lab par, Abbas ka naam aaya Abbas ke parcham ka, mere sar pe hua saya ek noor e wafa phaila, mere dil ne sukoo paya noori nazarah hai Abbas Haideri jalwa hai Abbas dilbar e Zahra hai Abbas saath hamesha hai Abbas Labbaika Ya Abbas..(4) Aflak pukare.. Aflak pukare Hum sab hai tumhare.. Ya Abbas Labbaika Ya Abbas..(2) Abbas.. Abbas.. (2) 2. Do sher hai duniya me, jiska na koi saani ek shere khuda Haider, ek sher e Ali ghazi mash'hoore zamana hai, dono ki alamdari Ghazi Ali ka hai sarmaya Ghazi Hussain ka hai saaya Ghazi hai shere karbobala Maula humara hai Abbas Labbaika Ya Abbas..(4) Ashiqan e bawafa ki aa rahi hai yeh sada Labbaika Ya Abbas..(2) Ya Abbas e Alamdar..(4) 3. Jab bhi ghum e duniya se, yeh dil mera ghabraya Ghazi mere maula.. Jab bhi ghum e duniya se, yeh dil mera ghabraya Mai apni duao'n mein, Abbas ko le aaya yeh wasta Ghazi ka, mere kaam bada aaya ghum ka madawa hai Ghazi mera bharosa hai Ghazi mera aqeeda hai Ghazi Rab ka wasila hai Abbas Labbaika Ya Abbas..(4) Aflak pukare.. Aflak pukare Hum sab hai tumhare.. Ya Abbas Labbaika Ya Abbas..(2) Abbas.. Abbas.. (2) Labbaik suno, Abbas wafao'n ka paikar hai Abbas jalal e Haider hai Har dil mein dhadakta hai Ghazi Abbas ka charcha ghar ghar hai Jis din se alamdari ka sharaf Shabbir se tumne paaya hai Us din se lekar aaj talak Labbaik, Labbaik humare lab par hai Labbaika Ya Abbas..(4) 4. Jab karbobala maula, humko bhi bulaenge Abbas ke roze par, labbaik pukarenge hum saamne ghazi ke nauha yeh sunaenge samne paak haram hoga shah e wafa ka ghum hoga zere alam matam hoga waada humara hai Abbas Labbaika Ya Abbas..(4) Ashiqan e bawafa ki aa rahi hai yeh sada Labbaika Ya Abbas..(2) Ya Abbas e Alamdar..(4) 5. Jab sham e ghareeba mein, ghurbat ki ghata chayi nauha tha yeh Zainab ka, Abbas mere bhai jab chadar chinti thi, teri yaad bohot aayi haaye wo Zainab ka nauha aur tadapna Ghazi ka ghum yeh tumhara aye maula aaj bhi taaza hai Abbas Labbaika Ya Abbas..(4) Aflak pukare.. Aflak pukare Hum sab hai tumhare.. Ya Abbas Labbaika Ya Abbas..(2) Abbas.. Abbas.. (2) Labbaika Ya Abbas..(6) Ashiqan e bawafa.. ki gunjti hai yeh sada Labbaika Ya Abbas..