لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Karty Hain Matam Haram

Ali Yazdaan2011
ShiaNohaLyrics
Ho gaya marna sitam Abbas ka (x4) Kartay hain matam haram Abbas ka Ho gaya marna sitam Abbas ka Aata hai zakhmi alam Abbas ka Ho gaya marna… Kartay hain matam haram Abbas ka Ho gaya marna… Haaye lab-e-nehar hua kya ghazab Teer laga mashk-e-Sakina pe jab Aa gaya hontoan pe dam Abbas ka Ho gaya marna sitam Abbas ka Kartay hain matam haram Abbas ka Ho gaya marna… Kehtay hain ro ro ke ye ahl-e-haram Jaah-o-hasham sabr-o-raza-o-karam Kis tarhan bhoolenge gham Abbas ka Ho gaya marna… Kartay hain matam haram Abbas ka Ho gaya marna… Le ke Shahenshaah-e-wafa se hayaat Choomnay kadmoan ko badhi khud furaat Dekh ke jaah-o-hasham Abbas ka Ho gaya marna… Kartay hain matam haram Abbas ka Ho gaya marna… Shaah ke ghamkhwaar pe har aik pal Sheh ke azaadar pe har aik pal Rehta hai ab bhi karam Abbas ka Ho gaya marna… Kartay hain matam haram Abbas ka Ho gaya marna… Phir mere Mola se na sambhla alam Paani baha ho gaya thanda alam Mashk mein shayad tha dam Abbas ka Ho gaya marna… Kartay hain matam haram Abbas ka Ho gaya marna… Ab bhi hai besheer ke maqtal ki yaad Ab bhi hai baaqi Shah-e-Karbal ki yaad Ab bhi hai ooncha alam Abbas ka Ho gaya marna… Kartay hain matam haram Abbas ka Ho gaya marna… Nabz-e-Sakina to wahin ruk gayi Shaah-e-Madina ki kamar jhuk gayi Baazu hua kya qalam Abbas ka Ho gaya marna… Kartay hain matam haram Abbas ka Ho gaya marna… Ab kahan bujh paayegi dukhiya ki pyaas Toot gayi baali Sakina ki aas Ho gaya baazu qalam Abbas ka Ho gaya marna… Kartay hain matam haram Abbas ka Ho gaya marna… Ashq-e-lahoo ro diya chark-e-gohar Ro diye besaakhta Shaah-e-Zaman Dekh ke chhalni alam Abbas ka Ho gaya marna… Kartay hain matam haram Abbas ka Ho gaya marna… Naizay pe us qaari-e-qur’aan ke saath Daaim-e-ghamkhwaar bhi Yazdan ke saath Karta hai noha raqam Abbas ka Ho gaya marna… Kartay hain matam haram Abbas ka Ho gaya marna…