لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Awida alwida ay fatima ke laal

Ali akbar ameen2014
ShiaNohaLyrics
Alwida alwida..(2) ay fatima ke laal, alwida alwida 1. Har matami ke dil me hai farshe aza bichi..husain har dil me ghum hai aankh ashko se hai bhari..husain naraaz hoke jaye na madar husain ki..husain matam kare husain ka pursa hai akhri..husain 2. Mehmaan banke aae the zehra ke noore ain..husain barpa imam bado me bhi majlis e husain..husain chaya hua tha har jagah matam ka shoro shain..husain bache, jawan, budhe sabhi kar rahe the bain..husain 3. Kya ronako ke saath ghum e sheh ka tha sama..husain majlis ke baad majlis o matam ka silsila..husain aaya abhi abhi to tha jaise mahe aza..husain lamho me jaise maahe moharram guzar gaya..husain 4. Koi bhi bharosa nahi apni hayaat ka..husain kya jane agle saal bhi dekhe mahe aza..husain is tarha se husainiyo matam karo bapa..husain karte ho jaise akhri matam husain ka..husain 5. Karbobala me zulm ki yu inteha hui..husain ek baap ne uthai hai mayyat jawan ki..husain is tarha qabr shaah ne khodi sagheer ki..husain sukhe hue gale pe chali kis tarha churi..husain 6. Dekha hai jabse chand moharram ka fatima..husain ek pal bhi muskuraye nahi hum hai sayyeda..husain qismat se humko aapke bete ka ghum mila..husain par kar na paye hum tere purse ka haq ada..husain 7. Rota hai muntazir ka qalam alwida husain..husain kaise uthaega ye alam alwida husain..husain jo haq tha wese hoega ab alwida husain..husain tum par salam shahe umam alwida husain..husain