لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Abbas e alamdar

Ali akbar ameen2016
ShiaNohaLyrics
Takhleek ke kanoon may mumkin nahi inkar; Karna he padega ba khuda subko ye iqraar; Zehra ki dua banke mila saani e qaraar; Is amr hai Allah ki qudrat hai namudaar Abbas Alamdar ey Sahib e Qirdaar(3) Abbas.... Hashmi shaan hai tu; Haq ki pehchan hai tu; Jalwae haider... Tujhmay osaaf e Ali; Tu hai kirdaar e Ali; Zaat may  lashkar; Abbas Alamdar ey saahib e kirdar(3) Khusbakht hai vo jisne kari teri ziyarat; Issaya e rehmat say mili ysko sharafat; Aagosh e wafa may raha vo banke shuja'at; Rozey pay tere milti is darja fazilat; Abbas Alamdar ey saahib e Kirdaar(3) Abbas.... Tera zawwar jari; Khali aaya na kabhi; Ey mere ghazi... Waaris e ishq e wafa; Ey wafa o ke khuda; Ey sakhi ibne sakhi; Abbas e Alamdar ey kul ke madadgar(3) Ey zair e husain hai ye tera mukaddar; Rakhta hai kadam jis ghadi maktal ki hado'n par; Ba hukme husain ibne ali jaan e payambar; Lene ke lie aatey hai abbas e dilawar; Abbas e Alamdar ey kul ke madadgar(3) Abbas.... Azm e shabbir liye; Rub ki shamsheer liye; Saani e haider; Leke aata hai jari; Yo'n ali ibne ali; Matami lashkar; Abbas e alamdar ey sheh ke wafadar(3) Aashur dhali sham e ghariba ka wo manzar; Maktal may khadi roti rahi waris e chadar; Nauha tha sakina ka ye maasum labon par; Karte hai sitam humpay sitam ehle sitamgar; Abbas e alamdar ey sheh ke wafadar (3) Abbas... Hurmat e ehle kisa; deke ghazi ko sada; Moh chupati thi; Karbala karbobala; Loot gai meri rida; Rokey kehti thi; Abbas e alamdar aajaona ekbaar (3) Akbar nay padha tera nauha ba wazu maula; Nazre na uthi dil nay tarapkar ye pukara; Mushkil na rahey jaisi bhi muhkil how khudara; Kaafi hai mere ghazi tera ek ishara; Abbas e Alamdar ey sahibe kirdaar(3) Abbas.... Kardo yawar ko ata; Hai kalamkar tera; Ey mere moula; Ye sada likhta rahey; Na jhukey na ye bikey; Ey mere moula; Abbas e alamadar Nasl e how wafadar(3) Abbas e alamdar ey sahib e kirdaar(3)