لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Allah o akbar

Ali akbar ameen2016
ShiaNohaLyrics
Allah o Akbar....(4) Allah o Akbar Allah...o Akbar Allah o Akbar(4) Sham ke bazaro may azane(2)... Sunkar yaad aaya akbar Allah o Akbar... (4) Barsar e naka saniye zehra(2)... Kehti rahi ye rorokar Allah o Akbar(4) 1) Ashhado Al Lailaha illalah... - Dete rahengy teri gawahi; Tere mujahid tere sipahi; Ey mere khalik mere Malik; Hum hai rahei'n ulfat ke rahi(2).. Iske ewaz gar jaan bhi koi(2)... Maangy tow dai'n khush hokar Allah o Akbar(4) 2) Ashhado Anna Mohammadar Rasulollah(saww) - Pyar e Nabi ka pyara nawasa, Qatl hua seh roz ka pyasa; Deta raha hai waqt e qaza tak, Tootey  hue her dil ko dilasa(2)... - dediya naam e nabi par(2)... Baniey shar ko apna sir 3) Ashhad o Anna Ali an Waliullah - Naam e Ali jisdam dohraya, Bint e Ali ka dil bhar aya Karke najaf ka rokh farmaya, Wada e tifli humne nibhaya(2) Din e nabi par aanch na aayi(2)... Loot ne ko chahe loot gaya ghar Allah o Akbar(4) 4) Hayya Alas swalah... - Rahiyo gawah ey sham ke manzar, Zulm hue kis darja humpar Khae hai kodey khae hai patthar, Shikwa magar aaya nahi pabpar(2).. Door say dikhlata hai zalim(2).. Mujhko ab meri chadar Allah o Akbar (4) 5) Hayya Alal Falah.. Detey rahey hum darsey, hidayat karte rahey khalik ki ita'at; Piliya subne jaam e shahadat, Ki nahi ehley zulm ki Baiyat(2) Dekhi hai maine lasho pay lashe(2).. Or naizo par subke sir Allah o Akbar (4) 6) Hayya Ala Khairil Amal - Mere khuda jo haal hai mera, Kab hai bhala tujhse poshida; Padhti rahungi yuhi namaze, Karti rahungi tuhjko sajda(2) Hath pase gardan ho bandhe ya(2).. Khati rahu yuhi patthar Allah o Akbar (4) 7) Allah o Akbar..Allah o Akbar.. Kaise sambhalu shah e madina, Sehmi hui baithi hai hazina; Khati hai kodey or tamache, Dar hai ke mar jaaai'n na sakina(2) Dekh rahi hai shimr e lai'n ko(2)... Jiske hath may hai khanjar Allah o Akbar (4) 8) Lailaha ilallah... - Detey hum jinko duae Karte, rahey hai vohi jafae; Jinki sada he humne madad ki Suntey nahi hai ab vo sadai'n(2) Kisliye aakhir humse khafa hai(2)... Zulm jo dhate hai milkar Allah o Akbar(4) 9) -Apne pisar ke naam ko sunkar, roti hai asif madar e akbar; Akbar jano dil tha akbar, Zabt bhi aakhir karti kyo'n kar(2) Door say he samhjati thi zainab(2)... subr karo hoga behtar Allah o Akbar(8)