لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Ya zainab

Ali akbar ameen2016
ShiaNohaLyrics
Ya zainab...ya zainab(2) 1) Dokhte payambar; aye binte haider; saniye zahra; hamsherey sarwar zainab... Sabre yaqoobi rah; gaya peechhe; sabr ko tere; har nabi dekhe rauze pe tere; kash ham hote... tere mahzar me; shaah ko rote.. ya zainab zainab(4) 2) dunya se kah do; gar che shaheed hai; bazoo kate hain; gar che jari ke; lekin... kaat dega wo; haath baatil ke, khud jari abbas; hain mohafiz tere, khud jari abbas; hain mohafiz tere, wo jari jiska; charcha hai ghar ghar, wo nigeh baane; khaahare sarwar Bibi jaan zainab...Bibi jaan zainab Ya Abbas Abbas(2) Bibi Jaan Zainab...Bibi Jaan Zainab 3) Esa o maryam; ki aankhen hain nam, tere azizon; ka unko hai gham, bibi.... tere khutbon ka; chaar sooo charcha, jin se larza tha; shaam aur koofa, lahja e haidar; toone apnaya, Aur paighaame; shaah pohchaya, Ammatus sadaat...Ammatus sadaat Ya Haider Haider(2) Ammatus sadaat...Ammatus sadaat 4) Mai tera saael; lutf o ata ho qismat me meri: karbobala ho maula... aye khoda mera: aisa ho kirdaar khud bulaen mujhe; sarware abraar be haqqe sarwar; ho ata ya rab ziyarate qabre; hazrate zainab ya akha zainab...ya akha zainab(2) ya zainab zainab(2) ya akha zainab...ya akha zainab(2) 5) Koofe ka darbaar; aur shami bazaar tu ro rahi thi; hanste the aghyaar Allah... labo dandaane; ibne zahra par marta tha chhadi; zaalime bad gohar aur sakeena bibi; dekhti rah gai baba ke sar ki; aisi be hurmati ya Husain Hussain..(6) 6) tha ek bimaar; majboor o lachaar sajjade muztar;shah ka azadar haye... hathkadi dale; bediyaan pahne tauqe gardan se; khoo,n laga bahne jis ke baba ka sar; rakkha hai naize par jis ki namoos hai; be reda dar badar ya Sajjad Sajjad..(6) 7) naushad o akbar; sab tere naukar sar peet,te hain; rote hain tujh par ham kya... teri roodaad par; zulm o bedaad par khud nabi rote hain; teri faryad par amma jaa,n fatema; kar rahi hain bukaa kyun hua barbaad; aye khoda ghar mera ya Zehra Zehra(6)