لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Ishq e mann karbobala

Ali akbar ameen2018
ShiaNohaLyrics
Karbala ishq ka onwan nazar aati hai Din e Mabood ki pehchan nazar aati hai Khair o shar ke lie mizan nazar aati hai Kalbe momin ke lie jaan nazar aati hai Zindagi karbobala Bandagi karbobala Roshni karbobala Aagahi karbobala Meri saanso ko sare arze najaf chhod aaya Or dil chhod ke aaya hon sare karbobala Sath may laya hon bus fatema zehra ki dua Ghazi abbas ke parcham ke pharere ki hawa Jub watan ko pohcha Her hussaini ne kaha Zaere karbobala Marhaba sad marhaba Karbala mera najaf say hai hua esa safar Ek jannat say kia dusri jannat ka safar Ishq e shabbir ka or ishq e Ali ka tha safar Ba khuda sath malaik ke hua mera safar Ambiya sath rahey Awliya sath rahey Owsiya sath rahey Or sada dete rahey Karbala kaba e dil qibla wafadari ka Karbala naam hai mazloom ki ghamkhari ka Karbala sadiyon say maktab rahi bedaari ka Karbala aaj bhi markaz hai azadari ka Noor e haq shamme haram Ishq e sarwer ki kasam Karbala ka hai karam Haq ka ocha hai alam Karbala pyas e musafir ki kahani bankar Kahi abbas ki akbar ki jawani bankar Kahi qasim kahi asgar ki nishani bankar Her azadar ki aakhon may hai pani bankar Karbala tashna labi Chashme momin ki nami Karbala khoon e ali Makhtal e aale nabi Kaisa badla hai ye zehra ki dua ne manzar Kal na ro paye jaha ehle haram pyaro'n par Waha purse ke lie aaj hazaro hai bashar Kis kadar shan say barpa hai aza e sarwer Noor e gham roohe aza Arz e girya o buka Noha matam ki sada Pursa e shahe hoda Bus yahi akbar o salman hamari hai dua Her baras roza e sarwer pay karey hum sajda Jub talak zinda rahey jaate rahey karbobala Or markar bhi mayyasar hoe humaey khake shifa Hum jo chhodey ye chaman Or lehed may hoe badan Karbala ka hoe kafan Hoe labo par ye sukhan