لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Chakkiyan pees k ay laal tujhe pala tha

Ameer Hassan Amir2006
ShiaNohaLyrics
hala khanjar toh sarhane se pukari zehra Chakkiyan pees k ay laal tujhe pala tha(2) Ay mere laal hussain (6) Chala khanjar toh sarhane se pukari zehra Chakkiyan pees k ay laal tujhe pala tha(2) Teri gardan pe kiya karti thi mai pyaar kabhi Apni tasveer ko karti thi tera haal kabhi Kya qabar thi k chalegi yahin talwar kabhi Isi gardan pe toh lete the payambar bosa Chakkiyan pees k ay laal tujhe pala tha(2) Rehgaya khoon may reqabon ki tabeeron may Aaj har simt se tu phir gaya shamsheeron may Dekhun kin ankhon se laal tujhe teeron may Kabhi jibreel jhulate the tera gehwara Chakkiyan pees k ay laal tujhe pala tha(2) Aa mere laal mai anchal may chupalun tujhko Maamta kehti hai bahon may basalun tujhko Phir usi tarha mai seene se lagalun tujhko Jaise ek baar mera bandhe kafan toota tha Chakkiyan pees k ay laal tujhe pala tha(2) Tu hai woh phool k rota hai chaman bhi tujhko Tu musafir hai k dhundega watan bhi tujhko Haan magar denge na ashraar kafan bhi tujho Woh bhi chin jayegi agar laash pe rakhdun mai rida Chakkiyan pees k ay laal tujhe pala tha(2) Shimr ki ankhon may ghairat ki nishani bhi nahi Doob hai itna k khanjar may rawani bhi nahi Khush hai halq may rehal ka paani bhi nahi Haan mere mahal may halan k yeh behta dariya Chakkiyan pees k ay laal tujhe pala tha(2) Ab woh humshakle nabi akbar e jaraar kahan Sogaya dast may abbas e alamdar kahan Khaak e jungal may luti hai teri sarkar kahan Kya ujadta hai bhala yun bhi kisika kumba Chakkiyan pees k ay laal tujhe pala tha(2) Qasim o aun o mohammed ali akbar bhi nahi Naaz tha jise pe tujhe ab toh woh lashkar bhi nahi Kaanon baazu pe rakha hai k baradaar bhi nahi Kya qabar thi k tu hojayega itna tanha Chakkiyan pees k ay laal tujhe pala tha(2) Sab ko batlate hain ye log nabi ki ummat Ab na ankhon may murawat na dilon may ghairat Naam sa ghusl o kafan kaisi namaz e maiyyat Chod jayenge ye sab khaak pe laasha tera Chakkiyan pees k ay laal tujhe pala tha(2) Sogaye run may tere sog manane wale Khoon may doob gaye khaak udane wale Bekafan khud hai kafan tujhko pinane wale Aa teri laash pe mai dalun woh ashkon ki rida Chakkiyan pees k ay laal tujhe pala tha(2) Asr e ashoor ka hai ameer o nayyar woh asar Ghumzade karbobala sa gaya har manzar par Ab musalle pe ho mimbar pe hun ya bistar par Ghum juda rehta hai socho mai wahi ek noha Chakkiyan pees k ay laal tujhe pala tha(2)