لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Hussain jaate hain rukhsat karo azadaron

Ameer Hassan Amir2007
ShiaNohaLyrics
Aza tamam marqad karo azadaron Hussain jaate hain rukhsat karo azadaron (2) Haye Hussain (6) Hussain jaate hain rukhsat karo azadaron (2) 1. Safar ka waqt hai mehman ko alwida kaho Juloos e shah e shaheedan ko alwida kaho Ujad ne wale hain kuch der may azakhane (2) Kisi behan ko kisi maa ko alwida kaho Hussain jaate hain rukhsat karo azadaron (2) 2. Zari hi tashna musafir ki behne wali hai Imam walon ki raunakh ujad ne wali hai Bujhe hue hain diye ro rahi hain deewarein (2) Jo mehman thi woh Bibi bichadne wali hai Hussain jaate hain rukhsat karo azadaron (2) 3. Saron pe dard hai ansun hai astinon par Udas baithe hain sab maatami zameenon par Rula rahe hain ye murjhaye phool sehron ke (2) Na Ghazi ye hain na patke hain shah nasheenoon par Hussain jaate hain rukhsat karo azadaron (2) 4. Kahan aaj ye manzar aza ke layegi Ye khamoshi ye udasi hume rulayegi Jiyenge kaise Zari o Alam se hoke juda Na din ko chain na raathon ko neend ayegi (2) Hussain jaate hain rukhsat karo azadaron (2) 5. Nabi ke chain ko kaise kahen Khudahafiz Shahe Hunain kaise kahen Khudahafiz Ye soch soch ke ankhon may asq aaye hain (2) Ke hum Hussain ko kaise kahen Khudahafiz Hussain jaate hain rukhsat karo azadaron (2) 6. Suqood bazme aza ka bohot rulayega Khud apne ghar ka ye sannata humko khayega Kise qabar ke ye din phir naseeb ho ke na ho (2) Jo agle saal jiyega woh gham manayega Hussain jaate hain rukhsat karo azadaron (2) 7. Udaasiyan sabhi maaon ke rukh pe chayi hain Labon pe bayan ko aankhon may ashq layi hain Phuppi ko dena hai pursa tumhare baba ka (2) Sakina Bibi tumhari kaneezein aayi hain Hussain jaate hain rukhsat karo azadaron (2) 8. Tumhari yaad may bechain hote jate hain Tumhari hujr may jaan apni khote jaate hain Inhe bhi dekhlo jhoole se ay Ali Asghar (2) Ye bache godi may maaon ki rote jaate hain Hussain jaate hain rukhsat karo azadaron (2) 9. Jab aayega kisi barchi ka yaad royenge Qasa may goonjegi jab jab azan royenge Tumhari hujri ay Shabhiye Paighambhar (2) Lab apna peetkar saare jahan royenge Hussain jaate hain rukhsat karo azadaron (2) 10. Hay itna ameer o nayyar kabhi yakeen maula Pasand donon ko hai sar zameen maula Badan humara hai bharath bhi karbala bhi magar (2) Jahan chale ho le chalo hume bhi maula Hussain jaate hain rukhsat karo azadaron (3) Haye Hussain (6)