لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Aye zaifa meri zainab ko

Ameer Hassan Amir2008
ShiaNohaLyrics
Dekha zainab ko to abdullah ne rokar pucha aye zaifa meri zainab ko kahi'n dekha hai kis liye aayi hai karne mere ghar tu girya aye zaifa meri zainab ko kahi'n dekha hai aye zaifa meri zainab ko kahi'n dekha hai..(2) 1. Kya Mohammad ki nawasi ko tu pehchanti hai kya mere Aun o Mohammad ko bhi tu jaanti hai tujhko maloom hai ehwaal mere baccho'n ka aye zaifa meri zainab ko kahi'n dekha hai..(2) 2. Kitne mash'hoor the is shehr mein khairaat uski apni maadar se bohot milti thi soorat uski odh kar ghar se nikalti thi wo Zehra ki rida aye zaifa meri zainab ko kahi'n dekha hai..(2) 3. Khaicha karta tha qalatein Ali akbar uski kitni tazeem kiya karte the Sarwar uski aur Abbas diya karte the pehra uska aye zaifa meri zainab ko kahi'n dekha hai..(2) 4. Badliya ghum ki madine pe jo ye chhayi hai kya wo shehzadiya'n pardes se laut aayi hai aagaya khair se kya sibt e nabi ka kunba aye zaifa meri zainab ko kahi'n dekha hai..(2) Roke abdullah se tab Hazrat e zainab ne kaha Mai hi zainab hu masaeb ne mujhe ghera hai aaj tum bhi nahi pehchante chehra mera mai hi zainab hu masaeb ne mujhe ghera hai mai hi zainab hu masaeb ne mujhe ghera hai..(2) 5. Mai hi zainab hu magar aaj hu mai kitni ghareeb legaya nargha e aada mein mujhe mera naseeb aur mere paas na mehmil thi, na maqna, na reda mai hi zainab hu masaeb ne mujhe ghera hai..(2) 6. Sue maqtool e jafa dasht mein bachhe mere hadd to ye hai ke jalaye gaye khaime mere jal gaya sholo'n mein besheer ka nanha jhoola mai hi zainab hu masaeb ne mujhe ghera hai..(2) 7. Rukn e sarwar ne mala khoon ali asghar ka dekha barchi mein jigar maine ali akbar ka saamne mere kata hai mere bhai ka gala mai hi zainab hu masaeb ne mujhe ghera hai..(2) 8. Kahu kis tarha bandhi thi mere shano pe rasan kaise batlau mai wo shaam ke zindaa'n ki ghutan hogayi khaak ka pewand sakina dukhiya mai hi zainab hu masaeb ne mujhe ghera hai..(2) 9. Kya kahe nayyar o Amir wo bhala ghum ka sama wo madina ki fiza ho ya ho zainab ki fugha uth rahi thi dar o deewar se nauho ki sadaa mai hi zainab hu masaeb ne mujhe ghera hai..(2)