لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Tu padhta jaa qur'aan

Ameer Hassan Amir2009
ShiaNohaLyrics
Mere majaye teri zainab ki chadar tujhpar qurbaan tu padhta jaa qur'aan..(2) Har simt tamashayi hai khade, meri aankhein hai hairaan tu padhta jaa qur'aan..(2) 1. Himmat de, sabr de, taqat de allah mere bhai tujhko tu sura e kahf jo padhta hai sunte hai tamashayi tujhko bat jaata hai kuch pal ke liye, kufe walo ka dhyaan tu padhta jaa qur'aan..(2) 2. Hai dil mein mere bus ek chubhan mai kaun hu koi jaan na le baalo'n se chipaye hu chehra kahin koi mujhe pehchaan na le lekin ye hai zehra ka kunba, koi karta hai ailaan tu padhta jaa qur'aan..(2) 3. Kis haal mein hai teri maa jayi zara dekh to le mujhe naize se meri pusht hai durro se chalni mere shano par hai neel pade kal tak mai jahan shehzaadi thi, wahi aaj hai meri ye shaan tu padhta jaa qur'aan..(2) 4. Hame zalim patthar marte hai sadqo ki khajure phaik te hai azaad kiya tha humne jinhe wahi aaj tamasha dekhte hai jis simt nigaah uthati hu, meri maut ke hai samaan tu padhta jaa qur'aan..(2) 5. Hum apne shikasta kaandho par sou(100) karbobalaye leke chale ye zulm bhi koi kam to nahi ek rassi hai aur 12 gale meri khatir rabb se maang dua, mujhe jaana hai zindaan tu padhta jaa qur'aan..(2) 6. Ghaazi ka alam mere saath me hai akbar ki azaa'n mere saath me hai hai shaam e ghareeba aankho me khaimo ka dhua mere saath me hai pardes mein humko ummat ne, kya khoob rakha mehmaan tu padhta jaa qur'aan..(2) 7. Mere phool mere nauras gunche hai aaj sina ki shakho'n par wo qasim o akbar ke sar hai wo aun o mohammad wo asghar taqdeer ne khoob sajaye hai, naizo pe mere armaan tu padhta jaa qur'aan..(2) 8. Awaaz ka parda reh jaye bolungi ali ke lehje mein sab dekhle baate karti hai zainab bhi wali ke lehje mein miljayega teri tilawat se, mere khutbo ko unwaan tu padhta jaa qur'aan..(2) 9. Sajjad ke dil se puche koi hai kaisi qayamat ki ye ghadi hatho me hai jiske hathkadiya payro mein hai dohri bedi padi beemar ne langar pehna hai, insaaf kare insaan 10. Aye nayyar o amir aati hai reh reh ke azakhano se sadaa zainab ki tamanna hai matam aur aasu hai zehra ki dua paigham tera pohchayenge, ghar ghar tere nauhakhwan tu padhta jaa qur'aan..(4)