لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Aaja meri beti

Ameer Hassan Amir2016
ShiaNohaLyrics
Zahra, Zahra..(2) zahra meri bacchi..(2) aaja meri beti, aaja meri zahra..(2) Marqad me mohammad ne padha hoga ye noha,, aaja meri beti aaja meri zehra Milne ke liye tujhse hy be chain ye baba aaja meri beti aaja meri zehra Ehsaas yatimi ka satata raha tujhko Har koei mere baad rulata raha tujhko Haider ke siwa kaun tarafdaar tha tera  aaja meri beti aaja meri zehra Jitney  bhi huye tujhpe sitam dekhey he’n me ne Ghar me tere ummat ke qadam dekhe he’n me ne Maloom hy mujhko tujhe jis jis ne sataya  aaja meri beti aaja meri zehra Darbaar e sitam me tera haq maangne jaana Dekha na gaya mujhse tera laut ke aana Ek me hi nahi tadpi hy tad air khatija  aaj a meri beti aaja meri zehra Mohsin ki shahadat ka mere dil pe hy sadma Har pal wo raha yaad mujhe me nahi bhoola Aa baitth mere paas tujhe dena hy pursa  aajaa meri beti aaja meri zehra Jab jab bhi tu roti thi meri qabr pe aakar Mujhse kabhi  dekha nahi jaata tha wo manzar Phatta tha tere nalo’n se reh reh ke kaleja  aaja meri beti aaja meri zehra Ummat ne tere pehlu pe darwaza girayaa Afsos taras tujhpe kisi ne nahi khaya Ja iz hy kare mujhse jo har zulm ka shikwa  aaja meri beti aaja meri meri zehra Haider ke galey me thi rasan dekha hy me ne Kis tarha kiya tuney sahan itna  bata de Qadmo’n pe kai baar giri hy tere fizza  aaja meri beti aaja meri zehra Marqad me bhi aaraam kaha’n paana hy tujhko E lal abhi karbobala jaana hy tujhko Shabbir ko wayda hy abhi apna nibhana  aaja meri beti  aaja meri zehra Kya haal baya’n tumse karoo’n gham ke safar ka Sar neze pe dekhogi abhi apne pisar ka Doobeyga mere khoon me tapta huaa sehra  aaja meri beti aaja meri zehra Din kaisa dikhaya hy ye taqdeer ne aasif Sar peet liya zenab e dilgeer ne asif Aamir jo uttha Fatima zehra ka janaza  aaja meri beti aaja meri zehra