لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Khoon-e-hussain

Ameer Hassan Amir2017
ShiaNohaLyrics
Haye mazloom Hussain, Mera mazloom Hussain *2 Khoone-e-hussain jake khuda ko dikhaungi *2 Ab hashr tak lahoo ko na muh se chhudaungi, Khoone-e-hussain jake khuda ko dikhaungi *2 1- Haq se kahungi Fatima faryad layi hai, Ummat ne mere laal ko mara duhai hai, Nauha yahi mai hashr me padhti hi jaungi, Khoone-e-hussain jake khuda ko dikhaungi *2 2- Paani dikha dikha ke rulaya Hussain ko, Nazron ke mere samne mara Hussain ko, Roro ke apne laal pe sabko rulaungi. Khoone-e-hussain jake khuda ko dikhaungi *2 3- Karte raho aye momino matam Hussain ka Tum sab ke kaam ayega ye gham Hussain ka Wada hai Fatima ka tumhe bakhshwaungi. Khoone-e-hussain jake khuda ko dikhaungi *2 4- Bacchon ke mere khoon se tar hai meri rida, Khanjar se haye mera bhi zakhmi hua gala, Ashkon ke badle aankh se main khoon bahaungi. Khoone-e-hussain jake khuda ko dikhaungi *2 5- Dasht-e-bala ki Bekasi us dil ke chain ki, Hogi bapa jo hashr me majlis Hussain ki, Jo bhi hue wo sare masayab sunaungi. Khoone-e-hussain jake khuda ko dikhaungi *2 6- Ab qabr me na chain se soyegi Fatima, Jangal me apne laal pe royegi Fatima, Hogi jahan pe majlis-e-shabbeer jaungi, Khoone-e-hussain jake khuda ko dikhaungi *2 7- Pehlu shikasta bibi ye kehti hai baar baar, Jo majlis-e-Hussain me rota hai zar zar, Unko liye baghair na Jannat me jaungi. Khoone-e-hussain jake khuda ko dikhaungi *2 8- Aamir bataun kese mere dil ke chain ko, Meri nazar ke samne mara Hussain ko, Aalam ye nauha hashr me padhti main jaungi. Khoone-e-hussain jake khuda ko dikhaungi *2 Haye mazloom Hussain, Mera mazloom Hussain *2