لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Mujhe shabbir kehte hai

Ameer Hassan Amir2017
ShiaNohaLyrics
Nabee ki aankh ka tara, Ali ko jaan se pyara Bachaya deen hai jisne, Use shabbeer kehte hain Mohammad ka nawasa hoo’n mujhe shabbir kehte hain*2 Har ek baala se aala hoo’n mujhe shabbir kehte hai Mohammad ka nawasa hoo’n mujhe shabbir kehte hain*2 1- Sawal e beyat e fasiq karoo’n tasleem na mumkin Bhala hinda ke bête ki karoo’n tazeem na mumkin Mai beta fatema ka hoo’n mujhe shabbir kehte hain Mohammad ka nawasa hoo’n mujhe shabbir kehte hain *2 2- Mai wo hoo’n jiska jhoola bhi farishto’n ne jhulaya hai Mai wo hoo’n jisko kaandho’n par mohammad ne chadhya hai Ali ka mai dulara hoo’n mujhe shabbir kehte hain Mohammad ka nawasa hoo’n mujhe shabbir kehte hain *2 3- Samajh me mai agar thoda bahot aao’n to phir kehna Subhana rabbeal aala subhana rabbe al aala. Kaha’n aakhir mai tumsa hoo’n mujhe shabbir kehte hain Mohammad ka nawasa hoo’n mujhe shabbir kehte hain *2 4- Mai jisko chahoo’n doo’n aulaad jisko chahoo’n par de doo’n Khatayen bakhsh doo’n jannat me jisko chahoo’n ghar de doo’n Sakhawat ka mai darya hoo’n mujhe shabbir kehte hain Mohammad ka nawasa hoo’n mujhe shabbir kehte hain *2 5- Mai jis dam ghaiz me aao’n falak kaanpe zamee’n kaanpe Paro’n ki khairiyat ke waste ruhul amee’n kaanpe Bahadur baap jaisa hoo’n mujhe shabbir kehte hain Mohammad ka nawasa hoo’n mujhe shabbir kehte hain *2 6- Qadam peechhe hatao’n raahe haq me ho nahi sakta Mai apni khandaani saakh har giz kho nahi sakta Abu talib ka pota hoo’n mujhe shabbir kehte hain Mohammad ka nawasa hoo’n mujhe shabbir kehte hain *2 7- Meri nazro’n me ye nau lakh to nau ki barabar hain Mere hamrah jitney fard hain wo khud me lashkar hain Shuja’at ka qabeela hoo’n mujhe shabbir kehte hain… Mohammad ka nawasa hoo’n mujhe shabbir kehte hain *2 8- Irada kar liya jis shey ka usko kab nahi paya Riyayat se kabhi maine koi mansab nahi paya Khateeb e noke neza hoo’n mujhe shabbir kehte hain Mohammad ka nawasa hoo’n mujhe shabbir kehte hain *2 9- Jo ghabrata nahi asif kabhi talwar o khanjar se Jo aamir fatha ka ailaan karta hai kate sar se Mai wo banda khuda ka hoo’n mujhe shabbir kehte hain Mohammad ka nawasa hoo’n mujhe shabbir kehte hain *2 Nabee ki aankh ka tara, Ali ko jaan se pyara Bachaya deen hai jisne, Use shabbeer kehte hain