لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Yeh dono kate haatho ko pehchane hue hai

Ameer Hassan Amir2017
ShiaNohaLyrics
Abbas Kahan Ho Mere Abbas Kahan Ho*2 Yeh Kehke Gire khaak Pe Maidaan Me Sarwar Yeh Dono Kate haath To Pehchane Huwe Hain*2 Yeh Kehke Gire khaak Par Maidaan Me Sarwar Yeh Dono Kate haath To Pehchane Huwe Hain*2 Allah Kare Khair se Ho Mera Baradar Yeh Dono Kate haath To Pehchane Huwe Hain*2 1) Baazu Mere Yeh Quwwate Baazu Ke Hain Baazu Dekha Hai Inhe Jab Se  Nahi Rukte Hain Aansu Woh Dard Kamar Me Hai Ke Dil Par Nhi Qaabu In Haatho'n Se Aati Hai Mere Bhai ki Khushbu*2 Jalti Huwi Reti Se Uthalo In he Dilbar Yeh Dono Kate haath To Pehchane Huwe Hain Yeh Kehke Gire khaak Par Maidaan Me Sarwar Yeh Dono Kate haath To Pehchane Huwe Hain*2 2) Hota Hai Qayamat Se bada Bhai Ka Gham Bhi Us Par Yeh Sitam Haath Baradar Ke Qalam bhi Dhoondo Zara Akbar Ke Madad Karte Hain Ham Bhi Laasha Bhi Yahi Hoga Kahee'n Mashko Alam Bhi*2 Baba Ki Kamar  toothgayi Dasht Me Akbar Yeh Dono Kate haath To Pehchane Huwe Hain Yeh Kehke Gire khaak Par Maidaan Me Sarwar Yeh Dono Kate haath To Pehchane Huwe Hain*2 3) Tadpaya Bohat Bhai Ko Taaqeer Hai Meri Kuch Bhi Na Kiya Dast me Taqreer Ne Meri Gurbat Me Kamar todhdi Taqdeer Ne Meri Khaime Me Bade Naaz Se Hamsheer Ne Meri*2 Taaweez Dua Ka Abhi Bandha Tha Inhi Par Yeh Dono Kate haath To Pehchane Huwe Hain Yeh Kehke Gire khaak Pe Maidaan Me Sarwar Yeh Dono Kate haath To Pehchane Huwe Hain*2 4) Armaan Mere Bhai Ke Tukdo'n me Bate Hain Markar Bhi Mere Bhai Ke Jazbe Na Ghate Hain Yeh Dono Kate Jo Zakhmo Se Ate Hain Ek Sookhi Huwi Mashk Ke Bharne Me Kate Hain*2 In Haatho'n Se Lipta Hai Sakina Ka Muqaddar Yeh Dono Kate haath To Pehchane Huwe Hain Yeh Kehke Gire khaak Pe Maidaan Me Sarwar Yeh Dono Kate haath To Pehchane Huwe Hain*2 5) Yeh Haath Hain Saqqayi Ke Mansab Ka Bharosa Baba Ki duaon Ka Yaqee'n Sab Ka bharosa Ummeed Sakina Ki To Zainab Ka Bharosa In Haato' n Se Wabasta Hai Ham Sab Ka Bharosa*2 Dekho To Zara Ghaur Se Hamshakle Payamabar Yeh Dono Kate haath To Pehchane Huwe Hain Yeh Kehke Gire khaak Pe Maidaan Me Sarwar Yeh Dono Kate haath To Pehchane Huwe Hain*2 5) Ham Shakle Nabi Dasht Me Baba Ki Khabar Lo Ghash Khake Na Girjae'n Kahee Godh Me Bharlo Aanko'n Se Tapak Ne Laga Ab Khoone Jigar Lo Tehro Zara Inhaton Ki Pehchaan To Karlo*2 Dil Gham Se Na Phathjaen Kahee'n Seene Ke Andar Yeh Dono Kate haath To Pehchane Huwe Hain Yeh Kehke Gire khaak Par Maidaan Me Sarwar Yeh Dono Kate haath To Pehchane Huwe Hain*2 6) Ammu Ka Alam Dekkhe Kehti Thi Sakina Kuch Derki Hai Pyaas Yeh Garmi Yeh Pasina Kuch Dur The Khaime Se Abhi Shah e Madina Do Haath Ko Liptaye Tha Shabbir Ka Seena*2 Zainab Ne Jo Dekha To Kaha Phenk Ke Chadar Yeh Dono Kate haath To Pehchane Huwe Hain Yeh Kehke Gire khaak Pe Maidaan Me Sarwar Yeh Dono Kate haath To Pehchane Huwe Hain*2 7) "Akhtar" Hai Pharere Se Aaya'n Khoon Ki Laali Kohraam Hai "Aamir" Ke Alam Aaya Hai Khaali Pyaso'n Ki Har Ummeed Hai Ab Tootne Wali Do Haath Hain Haatho'n Me Liye Saayade  Aali*2 Har Bibi Se Kehti Hai Sakina Yeh Tadap kar Yeh Dono Kate haath To Pehchane Huwe Hain Yeh Kehke Gire khaak Pe Maidaan Me Sarwar Yeh Dono Kate haath To Pehchane Huwe Hain*2