لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Abbas ki aamad hai batane laga dariya

Anjuman-e-masoomiya faizabad2014
ShiaNohaLyrics
Abbas ki aamad hi batane laga dariya Soi hui lehero ko jagane laga dariya Aankho me nae khwab sajane laga dariya Dariyaa……………………………………. (1) Vo aata hi jo saqiye kausar ka pisarhi Bujh jae gi ab pyaas meri mujh ko khabar hi ashq aankho se khushiyo ke bahane laga dariya Dariyaa……………………………………. (2) Sakkae sakina se nazar usne milaai bachcho ki sada pyas ki phir khaemo se aai mooh pani ki lehro me chupane laga dariya Dariyaa……………………………………. (3) Dariya ke jo seene pe qadam rakkha jari ne Paani ne qadam choom liye bad ke khushi se Gham door hua josh me aane laga dariya Dariyaa……………………………………. (4) Sookhi hui phir mashqe sakina nazar aai abbas ne wo mashq jo paani me duboi mashqeeze ko seene se laga ne laga dariya Dariyaa……………………………………. (5) Bas chalta to had tod ke bahar nikal aata or pyas sakina ki wo khaeme me bujhata majbooriya khud apni batane laga dariya Dariyaa……………………………………. (6) Choole labe abbas ye kehta raha paani paani ki magar baat na abbas ne maani nakami pe nazro ko churane laga dariya Dariyaa……………………………………. (7) Sar pya se ke qadmo pe bahot paani ne patka pyaase ka irada na badalna thana badla paani ki jagah aashq bahane laga dariya Dariyaa……………………………………. (8) Paani kabhi is tarhana haara tha kisi se Jis tarha mili haar use tashna labi se Nazron se khud apne ko girane laga dariya Dariyaa……………………………………. (9) Danish jo qadam pyase ne dariya se hatae Dariya ki hare k leher thi sar apna jhukae Gham toot pada khaak udane laga dariya Dariyaa…………………………………….