لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Phool se jism ke tukde tere beta qasim

Anjuman E Dua E Zahra2020
ShiaNohaLyrics
Phool se jism ke tukde tere beta qasim Kaise bardasht kare maa ka kaleja qasim...(2) 1. Zakhm itne hai tere rukh pe samee aspaa ke Tera pehchan me aata nahi chehra qasim 2. Isqadar dasht me ghodon ne tujhe roundha hai Sar kahi par hai tera aur kahi sehra qasim 3. Jiske aazaa-e-badan bhi na salamat aae Hai bahattar me shahid aisa akela qasim 4. Umr ka tha ye taqazah ke tu zinda rehta Dum teri goud me madar ka nikalta qasim 5. Apne sartaj ke main zakhm na bhuli thi abhi Chordh kar chal diye tum bhi hume tanha qasim 6. Dekhkar lash ke tukde teri gash khaya hai Mar naa jaye kahi dahshat se sakina qasim 7. Tum agar dekhte beta to jigar phat jata Tumne dekha hi kaha maa ka tadapna qasim 8. Apne guldaan me tu isko sajakar rakhna Karbala phool ke manind hai mera qasim 9. Jisne rakhi hai tere naam ki mehendi ghar me Iski aulad ko parwan chadhana qasim 10 . Hashmi khoon ka kuch esa baha hai dariya khoon mai dhub k ubrah hai savera qasim 11. Tere aulad agar hoti toh hoti ummed ab na hoga mere aagan mai ujala qasim 12. Noor ankho ka tere saath hua hai ruksat Cha gaya hai mere ankho mein andhera qasim 13. Baad tere to mein ek laash hu chalti firti Aur duniya ne mujhe samjha hai zinda qasim 14. Shabe furqat ke andhero mein ghiri hu beta Khogaya hai meri qismat ka sawera qasim 15. Chudiyan apni bhadane ko teri mayyat par Maang mein khaak bhare aai hai bewa qasim 16. Haddiya jism ki sab hogai zera zera Milgaya khak mein kuch ghosh bhi tera qasim 17. Misle suraj ke chamakne lage nashtar ka naseeb Aap karle jo qubool aaj ye nauha qasim