لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Salaam Fatema Zehra Ke Chand Taaro'n Par

Anjuman E Dua E Zahra2020
ShiaNohaLyrics
Na Aasmaa'n Na zamee'n Aur Na Behte Dhaaro'n par Salaam Fatema Zehra ke Chand taaro'n par Chale jo syed e Sajjad chubhte khaaro'n par Gulab Rone lage aise Be dayaro'n par Paden hen khoon me Tar Karbala ke jungle me Ye kesa zulm hai Quraan tere paaro'n par Zamee'n madeene ki Abid ke choom le paonw Ye Raah sabr me aaye hen chal ke khaaro'n par Tamache maar ke ik be haya ne cheen liye Nazar padi jo sakeena ke goshwaro'n par Mita ke dekh lo inko ye mit na payenge Dua Butool ki hai sheh ke sogwaaro'n par Husain bole agar izn de du'n ai Zaalim Akela kaafi hai Ghazi Tere hazaro'n par Ye doobe shams ne phir se palat ke batlaya Nizaam chalta hai haider tere isharo'n par Sipahe Shaam jo sajde ko rokne aayi Galo ne kar Diya hamla churi ki Dharo'n par Jo aise daur me baaqi hen majlis o maatam Karam hai Fatema Zehra ka gham gusaro'n par Dikayi mujh ko Diya hai wahan bhi farshe aza Nigah jab bhi padi meri chand Taron par Sanad ghulami ki khanbar se jo na le paye Faqeer hanste hen aise hi tajdaro'n par Gulo pa dekh ke Shabnam ko Aarzoo ye laga Ke arsh rota hai Zehra ke maah paro par Kabhi khayam jale aur kabhi Bandhe Baazu Qadam qadam pe musibat thi gham ke maaro'n par