لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Aaja Gaazi(As)

Anjuman E ZAINABIA (sa), Hyderabad2018
ShiaNohaLyrics
Qaafla gyaara Moharram ko rawaana Jo huwa Ruqq suye nehr kiye kehti thi zainab dukhiyaa Ab to daryaa se zaraa lautkey aaja Gaazi Gaazi...... Aaja Gaazi Ab to daryaa se zaraa lautkey aaja Gaazi Paas Bhai hai na betey hai na kunba' Gaazi Ab to daryaa se zaraa lautkey aaja Gaazi 1) Aagaye shaam e gareeba mey najaf se baba Faasla chand hi qadmo ka hai mujhsey Tera Phir Bhi aawaaz pey tu meri na aaya Gaazi Ab to daryaa se zaraa lautkey aaja Gaazi 2) Shimr jab karney lagaa tann se judaa sheh ka sarr Ruqq suye qaima' se wo jaanib e daryaa karkar Zeyr e qanjar Bhi faqat tujhko pukaara Gaazi Ab to daryaa se zaraa lautkey aaja Gaazi 3) Zaalimo'n Ney terey Shabbir ka ye haal Kiya Kaatkar sarr tann e mazloom ko paamaal kiyaa Aur phir naizey pey sarr uska chadhaaya Gaazi Ab to daryaa se zaraa lautkey aaja Gaazi 4) Raat bhar shimr ke darr se wo na sopaayi thi Neel hai gaal tamaachey Bhi bohat khaayi thi Darti hai baali Sakina usey samjhaa Gaazi Ab to daryaa se zaraa lautkey aaja Gaazi 5) Ek sitam ye Bhi huwa baad terey aye Gaazi Naa bachi sarr pey ridaa baad terey aye Gaazi Kar merey sarr pey terey baazu se parda' Gaazi Ab to daryaa se zaraa lautkey aaja Gaazi 6) Meri aamad pey na uth'tey they nigaahey jinkey Wo merey saamney aa aakey khadey hai hastey Bangayi bintey Ali aaj tamaasha Gaazi Ab to daryaa se zaraa lautkey aaja Gaazi 7) Chaar jaanib hai sitamgaar o darindaan e jafaa Kisko roodaad sunaau hai yahaa' kaun mera Koi moonis hai na yaawar hai hamaara Gaazi Ab to daryaa se zaraa lautkey aaja Gaazi 8) Paani dikhlaakey bahaaya tha layee'n reyt pey jab Hichkiyaa letey huwey jodkey wo dast e adab Tujhko detii rahi aawaaz Sakina Gaazi Ab to daryaa se zaraa lautkey aaja Gaazi 9) Ek rasan mey hi sabhii shaano ko baandhey hai layee'n Oonth ki pusht pey hum sabko bithaatey hai layee'n Terey jaaney se Mera haal huwa Kya Gaazi Ab to daryaa se zaraa lautkey aaja Gaazi 10) Karbala mey kabhi Koofey ke kabhi raaho' mey Bharey Darbaar mey zindaa' mey ya baazaaro' mey Labb pey zainab ke hameysha tha ye nauha' *"GAAZI"* Ab to daryaa se zaraa lautkey aaja Gaazi