لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Shaam Ke Zindaan Mey

Anjuman E ZAINABIA (sa), Hyderabad2018
ShiaNohaLyrics
Shaam ke zindaan mey margayi bintey Husain Qabr mey Shabbir ko Aayega ab kaisey chain Boli Sakina liye godh mey baba ka sarr Haal hai kaisa Mera dekhiye baba Husain Ruqq pey tamaacho'n ke nishaa' kaan Katey dekhkar Godh mey rota rahaa sarr e shah e mashraqain Chaar baras ki kalii pyaas mey Bhi shimr ki Kaisey tamaachey sahii sochiye aye waaledain Chauk ke Wo neend se kehney lagi aye phupii Leney mujhey aagaye fatema ke Noor e ain Aaj hai soona huwa shaam ka zindaan Kyu Kya huwi wo baap ko roti thi Jo saari rain Naa hai Kafan aur naa dafn ka saamaa' koi Dafn karengey to kaisey Ali ibney Husain Laasha e qwaahar baraadar na uthaa paayega Aayiye imdaad ko faatah e badr o hunain Kehti hai umm e rabaab qaid mey aye laadli Ut'tho Sakina utho waqt hai ye magrabain Gaur se sunna zaraa aaj Bhi aye zaayero Goonjti hai qaid mey baali Sakina ki Bain Duqtar e Shabbir par aaqri Shabbir ke Gaib mey Bhi qoon ke aansu bahaatey hai nain Majlis e Shabbir mey baali Sakina pey sab royengey *"GAAZI"* sadaa ahley aza e Husain