لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Aabed Ki

Anjuman E ZAINABIA (sa), Hyderabad2020
ShiaNohaLyrics
Lagaa durra sakina ko to royi bedi aabed ki Balaa se shaam Tak aankhey kahaa'n par soyi aabed ki Khuley sarr chaar saala fatema ke hai Galey mey rasan Hai haalat rasiiyo'n mey jakdey Hyder jaisi aabed ki Sinaa se shaah ka rotaa hai sarr ye dekhkar manzar Hai zaqmi kaan bachi ke badan hai zaqmi aabed ki Tamaacha jab koi rukhsaar par maarey sakina ke Wahii laachaargii se hota hai Dil chalni aabed ki Giraatey hai yateema ko layee'n jab pusht e naaqey se Nigaahey tab bahaatii hai lahoo ke moti aabed ki Sambhaalo ab sakina ko layee'n se aye phupii Amma Nahii hai ab kahii bhi jism mey jaa'n baaqi aabed ki Tamaachey maartey hai har ghadi zaalim sakina ko Aur hastey jaatey hai phir beykasii par shaami aabed ki Milaa peeney ko paani jab sakina ko, nahi peekar Lahoo mey doobkar Jo paav hai wo dhoyi aabed ki Kabhi kehti hai jaakar zaalimo'n se maarlo mujhko Tumhaarey khaakey durrey jaan ab hai jaati aabed ki Likhaa hai Jo masaayab *"GAAZI"* bintey shaah e waala ke Koii padhtaa hai jab bhi aankh hai namm hoti aabed ki