لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Aadaa Rulaa Rulaakey

Anjuman E ZAINABIA (sa), Hyderabad2021
ShiaNohaLyrics
Sarwar ko maartey hai aadaa rulaa rulaakey Mazloom o beywatan ko pyaasa sataa sataakey 1) Boley Husain beta mujhko muaaf karna Turbat teri banaata paani jo mujhko miltaa Dafnaa rahaa hoon tujhko aansu bahaa bahaakey 2) Maasoom beyzubaa'n par ye zulm kardiyaa hai Uskey bhi sarr ko aadaa naizey pey rakhdiyaa hai Dafnaaya tha shah e dee'n jisko chupaa chupaakey 3) Beenaayi jaachuki hai nazro'n mey hai andhera Aawaaz dey aye akbar aayega tera baba Mai thak gayaa hoon beta tujhko bulaa bulaakey 4) Maidaan mey hai tanhaa khairunnisa ka dilbar Imdaad ko wahaa'n par moonis hai aur na yaawar Shabbir thak gaye hai laashey uthaa uthaakey 5) Aye shimr tu bataadey kuch to qataa hai shah ka Khanjar hai kund uspar sookha galaa hai shah ka Gardan kyu'n kaat'taa hai zarbey lagaa lagaakey 6) Naizey se girraha to phirsey usey chadaao Ahley haram khuley sarr hai ye usey bataao Abbas ko rulaao chaadar dikhaa dikhaakey 7) Maaro tamaachey mujhko ek sarr sinaa se bolaa Soneydo meri bachi ko reyt par zaraa saa Usko na tum jagaao daaman jalaa jalaakey 8) Majmaa sharaabiyo'n ka darbaar mey hai baithaa Aur tasht mey hai rakkhaa Sarwar ka sarr bureeda Aur hasrahey hai zaalim mehfil sajaa sajaakey 9) Kya guzri hogi us damm Zainab ke dil pey *"Gaazi"* Baazaar mey na jaaney kis tarha seh rahi thi Hastey they shaami shah ko baagi bulaa bulaakey