لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Beyridaa laasha e Gaazi(As) pey na jaana Zainab(Sa)

Anjuman E ZAINABIA (sa), Hyderabad2021
ShiaNohaLyrics
Boley shabbir jo paani kabhi paana Zainab Fateha uspey sakina' ka dilaana Zainab Baad e aashoor my zinda na rahoonga Rann mey Tum meri samt se kunbey ko bachaana Zainab Kehdo baccho'n se madad karney meri aajaaye Hai abhi laash e jawaa'n mujhko uthaana Zainab Aag khaimo'n mey lagaayengey Layee'n jab aakar Merey beemaar ko sholo'n se bachaana Zainab Laasho'n ke dheyr mey gar seena agar mil na sakey Apney seeney pey sakina' ko sulaana Zainab Ek tamaacha bhi na sehpaayegi bachi meri Shimr se meri sakina' ko bachaana Zainab Itni gairat hai ke uth uthkey kareyga girya Beyridaa laasha e Gaazi pey na jaana Zainab Laash asgar ki agar dekhey to marjaayegi maa Qabr beysheer ki tum chupkey banaana Zainab Meri mazloomi ka dunya ko khabar ho behna Farsh yuu merey museebat ka bichaana Zainab Karbala aao to ye karna agar baad e rihaa Merey laashey pey kafan eak udhaana Zainab Wo masaayab Karey kis tarha raqam *"Gaazi"* ney Boley shabbir mujhey bhool na jaana Zainab