لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Alamdaar Alamdaar

Anjuman E ZAINABIA (sa), Hyderabad2022
ShiaNohaLyrics
Ab tak hai zabaano'n pey Alamdaar Alamdaar Abbas Alamdaar Abbas Alamdaar Rorokey sadaa detey hai tumko shah e abraar Abbas Alamdaar Abbas Alamdaar 1) Kis shaan se bhai se wafaa tumney nibhaayi Abbas Alamdaar Abbas Alamdaar Aagey kabhi shabbir ke aankhey na uthaayi Abbas Alamdaar Abbas Alamdaar Taa marg nibhaayi hai wafaa tumney wafadaar Abbas Alamdaar Abbas Alamdaar 2) jabsey gaye darya ki taraf tum aye dilaawar Abbas Alamdaar Abbas Alamdaar Har baar ridaa takti hai apni meri khwaahar Abbas Alamdaar Abbas Alamdaar Aye merey jarii aye pisar e hyder e karrar Abbas Alamdaar Abbas Alamdaar 3) Rorokey dua karti hai ye baali Sakina' Abbas Alamdaar Abbas Alamdaar Jo bhi gaya maidaan ko waapas nahi aaya Abbas Alamdaar Abbas Alamdaar Allah karey lautkey aaye chacha ek baar Abbas Alamdaar Abbas Alamdaar 4) Zainab ney kahaa bhai merey zaamin e Chaadar Abbas Alamdaar Abbas Alamdaar Baad aapkey cheenengey ridaa ashkiya aakar Abbas Alamdaar Abbas Alamdaar Imdaad ko aao merey pardey ke nigehdaar Abbas Alamdaar Abbas Alamdaar 5) Har baar Sakina' ko diyaa kartey they bosey Abbas Alamdaar Abbas Alamdaar Par shaam e gareeba'n mey zaraa dekho palatkey Abbas Alamdaar Abbas Alamdaar Hojaayengey neeley meri bachi ke ye ruqsaar Abbas Alamdaar Abbas Alamdaar 6) Aye bibiyo'n sarr peeto uthaa Gaazi ka saaya Abbas Alamdaar Abbas Alamdaar Aaya hai Alam aur Alamdaar na aaya Abbas Alamdaar Abbas Alamdaar Ab sogaya daryaa pey mera moonis o ghumkhwaar Abbas Alamdaar Abbas Alamdaar 7) Jaaney se terey meri kamar tootgayi hai Abbas Alamdaar Abbas Alamdaar Jee bharkey tujhey dekhlu khwaahish ye meri hai Abbas Alamdaar Abbas Alamdaar Phir hoga na haashim ka kabhi chaand namoodaar Abbas Alamdaar Abbas Alamdaar 8) Haatho'n mey liye baazu terey shaah pukaarey Abbas Alamdaar Abbas Alamdaar Ab narga e aadaa se mujhey kaun bachaaye Abbas Alamdaar Abbas Alamdaar Maareyga mujhey teer koi aur koi talwaar Abbas Alamdaar Abbas Alamdaar 9) Abbas ye gar aaqri ruqsat ki ghadi hai Abbas Alamdaar Abbas Alamdaar Tumsey meri bass aaqri armaan yehii hai Abbas Alamdaar Abbas Alamdaar Bhayya mujhey kehkar to bulaao zaraa ek baar Abbas Alamdaar Abbas Alamdaar 10) *"Gaazi"* yehi kartey they fugaa'n sayyad e waala Abbas Alamdaar Abbas Alamdaar Jab shimr liye teyg merey zaanu pey hoga Abbas Alamdaar Abbas Alamdaar Aawaaz tumhey doonga my aao merey jarrar Abbas Alamdaar Abbas Alamdaar