لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Naizey Par

Anjuman E ZAINABIA (sa), Hyderabad2022
ShiaNohaLyrics
Khoon rota hai sarr e shaah e hudaa Naizey par Kya Nazar aata hai Zainab ki ridaa Naizey par Shaam tak baali sakina ney tamaachey khaaye Shaam tak khaaya hai pathar Sarr e Shah Naizey par Saamney baap ke beti pey barastey pathar Chashm e shabbir se hai khoon rawaa Naizey par Sarr e shabbir uthaakar nahi laaye aadaa Ashkiyaa'n lekey Gaye deen e khuda Naizey par Kya hayaa aagayi Zainab ney kahaa aabed se Kyu'n nazar aata nahi Gaazi mera Naizey par Jab bhi zainab ke khuley sarr pey Nazar jaati thi Har qadam par Shah e dee'n martaa hi rahaa Naizey par Nazr logo'n ki hataana tha sarr e zainab se Isliye sheh ka sarr Qur'an padhaa Naizey par Beech baazaar mey bey parda hai bintey Zehra Girgaya qaak pey jab Gaazi sunaa Naizey par Padhkey Qur'an ye shabbir ney batlaaya hai Kaisey karni hai adaa hamd e khuda Naizey par Juz Husain ibney Ali hashr talak aye *"Gaazi"* Kaun kar paayega Khaaliq ki Sanaa Naizey par