لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Faryaad E Sakina

Anjuman E ZAINABIA (sa), Hyderabad2023
ShiaNohaLyrics
Rokey karti thi ye faryaad sakina' baba Paani baad aapkey dushwaar hai peena baba Mujhsey milney ke liye aaye ho ek saal ke baad Kya na yaad aayi tumhey baali sakina' baba My zaraa deyr bhi panjo'n pey chalii naa baba Kheenchta aakey rasan shimr kameena' baba Oonth se raah mey zaalim ney giraaya mujhko Dekhiye zaqmi hai kitna mera seena' baba Aap kehtey they jisey dil ka sukoo'n Jaan e jigar Usko ab maarta hai shimr kameena', baba Chotey ruqsaar merey, haath badaa zaalim ka Socho baad aapkey kya mera hai jeena baba Kabse rorokey yuhi qaak pey sojaatii hoon Hai kahaa'n soney ko ab aapka seena' baba Aap maarey gaye, my qaidi bani, shaam chalii Raas aaya na moharram ka maheena' baba Zaqmi sarr dekh ke pehchaan lo haalat meri Khoon hai yaa ke hai maathey pey paseena' baba Khoon kaano'n se merey paav talak Jaa pahuncha Shimr bey rehmi se jab baaliyaa'n cheena baba Aapka naam liya jab bhi, tamaachey khaayi Tumpey roney ki ijaazat bhi milii naa baba Laut'tey ghar ko parindo'n pey nazar jab bhi gayii Yaad aaya hai bohat mujhko madeena' baba Aapkey sookhey labo'n par Jo chadii dekhi thi Tabsey beykaar huwa mera ye jeena baba Khaid khaaney mey bapaa hogaya maatam *"Gaazi"* Jabkey qaamosh huwi kehkey sakina' baba