لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Shabbir ka wo beta marne ko ja raha hai

Anjuman e Aza e Hussain2011
ShiaNohaLyrics
Shabbir ka wo beta marne ko ja raha hai Sughra watan me jiska sahra saja rahi hai Apni phuphi se ran ki rukhsat wo mangta hai Sughra watan me jiska sahra saja rahi hai Shabbir ka wo beta marne ko ja raha hai Sughra watan me jiska sahra saja rahi hai Mitne ko hai jaha(n) se hai tasweer Mustafa ki Qaboo me ab nahi hai halat Shah-e-huda ki Nazdeek bas ajal hai kuch lamha rah gaya hai Sughra watan me jiska sahra saja rahi hai Shabbir ka wo beta marne ko ja raha hai Sughra watan me jiska sahra saja rahi hai Aaoonga na mai wapa usko bhi ye pata hai Maqtal se baap ko wo mud mud ke dekhta hai Hasrat se baap bhi to bete ko dekhta hai Sughra watan me jiska sahra saja rahi hai Shabbir ka wo beta marne ko ja raha hai Sughra watan me jiska sahra saja rahi hai Ye waqt me jamaye bhai pe hai nigahe(n) Akbar ki le rahi hai ye door se balaye(n) Wo khaqe Karbala pe karwat badal raha hai Sughra watan me jiska sahra saja rahi hai Shabbir ka wo beta marne ko ja raha hai Sughra watan me jiska sahra saja rahi hai Arshe bari se taare hasrat se todti hai Akbar ke waste wo ladiyo me goondhti hai Usko nahi khabar thi naiza use laga hai Sughra watan me jiska sahra saja rahi hai Shabbir ka wo beta marne ko ja raha hai Sughra watan me jiska sahra saja rahi hai Raaho(n) me jiski sughra shamma jala rahi hai Din raat dil hi dil me dulha bana rahi hai Wo ediya(n) zamee(n) par bhai ragad raha hai Sughra watan me jiska sahra saja rahi hai Shabbir ka wo beta marne ko ja raha hai Sughra watan me jiska sahra saja rahi hai Jiske liye machalti hai soch kar ye Sughra Bandhoongi ek din mai bhai ke sar pe sehra Wo to ajal ka ran me sehra pahan chuka hai Sughra watan me jiska sahra saja rahi hai Shabbir ka wo beta marne ko ja raha hai Sughra watan me jiska sahra saja rahi hai Naushah jab banega ye sochti hai Sughra Chup jayega hasee(n) phoolo se sara chehra Maloom kya ki usko ghere hue qazaa hai Sughra watan me jiska sahra saja rahi hai Shabbir ka wo beta marne ko ja raha hai Sughra watan me jiska sahra saja rahi hai Dil me saja rahi hai phoolo se jiska sehra Karti thi jiski khatir ye ehtemam Sughra Maqtal se uska laasha khaime me aa raha hai Sughra watan me jiska sahra saja rahi hai Shabbir ka wo beta marne ko ja raha hai Sughra watan me jiska sahra saja rahi hai Poori tamanna hogi gulzar hoga ye ghar Aayega jab palat kar pardes se baradar Lekin use khabar kye narghe me wo ghira hai Sughra watan me jiska sahra saja rahi hai Shabbir ka wo beta marne ko ja raha hai Sughra watan me jiska sahra saja rahi hai Lashe pe Shah uske aansoo baha rahe hai Bachcho ke saath mil kar lashaa utha rahe hai Gulzar hasarto ka paamal ho chuka hai Sughra watan me jiska sahra saja rahi hai Shabbir ka wo beta marne ko ja raha hai Sughra watan me jiska sahra saja rahi hai Ammar ye bahan se aye kaash koi kahta Jiska  piro rahi tu hasrato se sahra Bandhegi kiske sar pe Akbar to mar chuka hai Sughra watan me jiska sahra saja rahi hai Shabbir ka wo beta marne ko ja raha hai Sughra watan me jiska sahra saja rahi hai