لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Abbas tum kahan ho

Anjuman e Mohibbane Hussain2015
ShiaNohaLyrics
Gaazi mere baradar Abbas tum kahaa’n ho Aayi hai raat sar par Abbas tum kahaa’n ho Aao sahara de do, laasha jawaan ka hai Kaise uthhaye Sarwar, Abbas tum kahaa’n ho Zehra bhi aa gayi hai, taakhir na karo tum Kat’ta hai halq e Sarwar, Abbas tum kahaa’n ho Jisko nazar milaakar, dekha kabhi na tumne Uska hai naize pe sar, Abbas tum kahaa’n ho Gairat ko aap ki ye, tasleem kaise hoga Khaimo’n mein aaye lashkar, Abbas tum kahaa’n ho Sholay bhadak rahe hain, maqtal dhuaa’n dhuaa’n hai Hai khaufnaak manzar, Abbas tum kahaa’n ho Dar dar phiregi waaris, tat’heer ki ab aise Sar par na hogi chaadar, Abbas tum kahaa’n ho Pal bhar ko aa bhi jaao, bachchi ko chayn aaye Jaao tasalli dekar, Abbas tum kahaa’n ho Kabze mein tegh hoti, to jaante ye zaalim Kya hai jalaal e Haidar, Abbas tum kahaa’n ho Manzil ‘Salim’ aaye, pool e Siraat ki to Dena sadaa tadapkar, Abbas tum kahaa’n ho