لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Islam pe ehsaan hai zehra ke bhare ghar ka

Anjuman e Mohibbane Hussain2015
ShiaNohaLyrics
Ehsaa’n hai kate sar ka, ehsaa’n hai khule sar ka Islam pe ehsaa’n hai, Zehra ke bhare ghar ka Kya zauq e bandagi hai, sajde mein jaake kehna Maalik qabool kar le, hadiya jawaa’n pisar ka Majboor hai ye behna, be-dard Zamana hai Karne bhi nahi’n deta, maatam ye biradar ka Be-tegh aaya Gaazi, roka nahi’n kisi ne Kya faaeda hai zaalim, do laakh ke lashkar ka Roya kiye hain Aabid, Aashoor se ajal tak Do chaar ka nahi’n hai, sadma hai bhare ghar ka Kyon dekhke Asgar ko, tujhko hayaa na aayi Aye Hurmula bataa kya, dil tera hai patthar ka Na-mehramo’n ki nazrein, Zainab se bachaane ko Karne lagaa tilaawat, sar naize pe Sarwar ka Paaya hai zaanoo Sheh ka, rumaal e Sayyada bhi Hoga na Hur ke jaisa, sultan muqaddar ka Be-haal kar diya hai, Aal e Nabi ko tu ne Kya koi darr nahi’n hai, zaalim tujhe Mehshar ka Asgar ki maut tak thi, dariya pe pehredaari Kitna zaleel o badtar, manshaa tha sitamgar ka Rooh e ‘Salim’ nikle farsh e azaa pe yaa Rab Ye zindagi to yu’n bhi, sadqa hai bahattar ka