لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Majlis o matam sikhaya shukriya zainab ka hai

Anjuman e Mohibbane Hussain2015
ShiaNohaLyrics
Zikr e gham ki ibtedaa hi, tazkera Zainab ka hai Majlis o Maatam sikhaya, shukriya Zainab ka hai Saat sau kursi nashi’n hai, takht par Ibn e Sitam Is bhare darbar mein bhi, dabdaba Zainab ka hai Baarhaa sar Gaazi ka aata hai jaanib farsh ki Kaise sar naize pe rehta, sar khula Zainab ka hai Quwwat e baazu e Shabbir, hai Sakina ka chacha Ye Ali ka mojiza hai, hausla Zainab ka hai Karbala, bazaar e Kufa, Shaam ka darbar, qaid Sakhtiyaa’n itni, kaleja phool sa Zainab ka hai Ek zaeefa mein numaaya hai bahattar ka wajood Baad e Asr e Gham Haram ko, aasra Zainab ka hai Har Imam e Waqt ne taa’zim ki jis Bibi ki Ye Khuda hi jaanta kya martaba Zainab ka hai Nauha kya ek sher bhi tu likh nahi’n sakta ‘Salim’ Kya teri auqaat ye to, mojiza Zainab ka hai