لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Mai qaidi bani hu baba

Anjuman e Muhafiz e aza2010
ShiaNohaLyrics
Shaam ki raaho mein ro ro kar, kahti thi binte zehra mai qaidi bani hu baba..(2) 1. Doob gaye sab chaand sitare baaqi nahi hai god ke paale chin gaye mujhse mere sahare khoo me hai tarr qur'an ke paare..(2) haaye mere baba, hogaye hum be parda kisko pukaru, kisko sadaa du kar gaye mujhe sab tanha mai qaidi bani hu baba..(2) 2. Lut gayi baba aapki zainab bhai ko apne kho chuki zainab kufe ki jo shehzadi thi zainab aaj rasan mein bandh gai zainab..(2) haaye mere baba, hogaye hum be parda manzil manzil, ehle tamasha dekh rahe hai chehra 3. Yaad hai mujhko aapne baba roke mujhe seene se lagaya shaano ka phir bosa bhi liya tha kuch na mai samjhi jitna bhi socha..(2) haaye mere baba, hogaye hum be parda rassi ke ek tukde ne sab aaj mujhe samjhaya 4. Zibha hua jab ran mein baradar toot pade hum sab pe sitamgar jalne laga sehra mein mera ghar ummat e jadd ne cheen li chadar..(2) haaye mere baba, hogaye hum be parda durro ki har zarb pe mere lab pe naade ali tha 5. Jeene ki dil mein aas nahi hai kaise jiyu abbas nahi hai jaan se pyaara paas nahi hai usko magar ehsaas nahi hai..(2) haaye mere baba, hogaye hum be parda ruswai qismat mein likhi hai kisse karu mai shikwa 6. Bali sakina aur wo tamache usko bachati zulm se kaise chhin gayi bali saamne mere lipti hai rassi sukhe gale se..(2) haaye mere baba, hogaye hum be parda haath gale par rakhe huwe hai phool si meri sakina 7. Laakh alam hai ek mera dil dhundhu kaha mai toofan mein sahil hadde nazar tak koi na manzil aapki beti aur ye mushkil..(2) haaye mere baba, hogaye hum be parda hal karte hai sabki musibat aap to mere baba 8. Shaam mein jis dum qafela pohcha shehr mein ek mela sa laga tha namehram ka dekh ke nargha baap ko phir zainab ne pukara..(2) haaye mere baba, hogaye hum be parda ghar ki chato par log khade hai phek rahe hai sadqa 9.Bhai ki qismat shimr ka khanjar khwahar ki taqdeer mein thokar shaam ki raaho mein aye anwar thi ye sada e zainab e muztar..(2) haaye mere baba, hogaye hum be parda jalti zamee'n par urya pada hai majaye ka laasha