لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Abbas alamdaram

Anjuman e alamdare hussain2015
ShiaNohaLyrics
Abbas Alamdaram Abbas Alamdaram Zainab ne kaha rokar, Abbas Alamdaram pyase hai sabhi bache, sairab karo aake kya site ho dariya par, abbas alamdaram athara baras wala, akbar bhi gaya mara sine pe sina khakar, abbas alamdaram Che maha ka wo pyasa, jis halq pe teer aaye phir us pe chala khanjar, abbas alamdaram Tanhayi hai ghurbat hai, yeh kaise qayamat hai zqmi hai tan-e-sarwar, abbas alamdaram jalte hai sabhi qaime, dekhou to zara aake chinti hai meri chadar, abbas alamdaram batlaou tumhe kaise khincha hai layioune abid ka mera bistar, abbas alamdaram Tum jab se gaye bhaya, karte hai sitam aada har lamha sakina par, abbas alamdaram tha lab pe sakina ka ammu ho kaha mera har ek tamacha par, abbas alamdaram ye kaise ghadi ayi, kothou se tamashayi barsate hai ab pathar, abbas alamdaram hain kursi nashee sara, darbar me hakim ke haste hai laye hum par, abbas alamdaram sahil yahi kahti thi roro ke nabi zadi lo jald qabr akar, abbas alamdaram