لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Mere hussain

Anjuman e alamdare hussain2016
ShiaNohaLyrics
Maqtal me roke Kehti thi Zehra Mere Hussain Aa go’ud me aaja mere aaja mere hussain tukde badan ke bhikhre huwe dekhthi rahi qasim ke tukde tune chune dekhthi rahi rokar uthaya tune jo lasha mere hussain abbas margaya tera akber nahi raha godi me Jis ko paala tha asghar nahi raha sab mar chuke hai rothi hai zehra mere hussain lillah na kar tu zibha ye mera hussain hai aye shumr teen roz ka piyasa hussain hai sar pit ke ye kehti hai zehra mere hussain zainab ne apni nasl ko be jaan kardiya bhai pe apne bachon ko qurban kardiya lashon ke darmiyan kiya sajda mere hussain haan ab katega tera gala maa ke samne sar hoga tera tan se juda maa ke samne royegi dil ko thaam ke zehra mere hussain Akber ka tune kaise janaza uthaliya tuti kamar thi phir bhi wo lasha utha liya manzar wo kaise laila ne dekha mere hussain baqi rahega naam ali ka namaz main momin padega bas yahi kalma namze main name ali ko kardiya zinda mere hussain tune gala katadiya islam ke liye dijaan apni deen ke paigham ke liye qaliq ka naam kardiya uncha mere hussain kattha tha sar hussain ka rothi thi bekasi aye hashmi hussain ki maa dekhthi rahi manzar ye koi maa ne na dekha mere hussain