لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Ab aaye maula

Anjumane Ghulaman e masoomeen2017
ShiaNohaLyrics
Ab aiye mola ab aiye mola sitamgaro se hame bachaiye mola Pidar ke gham me bhi jis bibi ko na rone diya Talash karti hai us bibi ki lahed saya Ujad gaye hain ghar, hai sham ka manzar Mazare binte nabi bachaiye mola Ab aiye mola sitamgaro se hame bachaiye mola Hai zulm shame ghariba ke ab bhi nazro me Chhini ridaye shaqi aa gaye the khaimo me Sadaye hain sab ki, kanize zainab ki Rida ko naize se bachaiye mola Ab aiye mola ab aiye mola sitamgaro se hame bachaiye mola Ghiri thi binte Ali shamiyo ke Lashkar me Kalam karte the jis ja zabaan patthar me Sitam hai phir waisa, hai zad pe ab roza Muhahize sheh ko bachaiye mola Ab aiye mola ab aiye mola sitamgaro se hame bachaiye mola Alam uthate hain Ghazi ka log Kuch aise Hai jhut aur riyakari sari unse parein Farebi logo ke, farebi chehro se Fareb ke parde hataiye mola Ab aiye mola ab aiye mola sitamgaro se hame bachaiye mola Sadaye aati hai bachchi ki qaid khane se Alam ke sath chacha aaye kyun na darya se Hai muntazar ab bhi, ke aayega mehdi Na intezar uska badhaiye mola Ab aiye mola ab aiye mola sitamgaro se hame bachaiye mola Bahen ne kis tarha dekhe woh zulm ke manzar Zaef baap ke hatho me tha jawan pisar Na uth saka tanha, jawan ka lasha Madad ko bahre khuda ab aiye mola Ab aiye mola ab aiye mola sitamgaro se hame bachaiye mola Chhupaya asghare beshir ko jo zere zami Talash naize se karte the jis tarha se laen Woh jisne Asghar ka, nikala tha lasha Ab usko naize pe uthaiye mola Ab aiye mola ab aiye mola sitamgaro se hame bachaiye mola Dua e karta hai Gulzar kash ke hum ho Yej anjuman ho farazdaque ho aur mesum ho Aza ke mausam me, Hussain ke gham me Unhe ziyarat pe bulaiye mola Ab aiye mola ab aiye mola sitamgaro se hame bachaiye mola