لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Chalo husainiyo tumhe bulati hai zameen e karbobala

Anjumane Ghulaman e masoomeen2017
ShiaNohaLyrics
Hazaro gham ho gar tumhare sine Maza na aaye is jahan ke jine me Sukoo'n mile na makka o madine me Toh un Palo me sukoo'n dilati hai Zamin e karbala Chalo hussainiyo tumhe bulati hai zamin e karbala Koi jo khud ko haq parast kehta hai Yazidiyat ki mehfilo me rehta hai Rukhe talatum pe hamesha Behta hai Nifaaq wala use batati hai Zamin e karbala Chalo hussainiyo tumhe bulati hai zamin e karbala Liye tha khud me karbala ke ban lashe Sipaahe haq haye pur mahan lashe Muhafizaane dee'n ke bekafan lashe Ke jinke sadqe kafan udhati hai Zamin e karbala Chalo hussainiyo tumhe bulati hai zamin e karbala Ziyarato pe kafile jo jaate hain Jo ishqe sheh me dast o paa'n katate hain Ke jinpe aada zulm o jor dhaate hain Toh unpe ashqe lahu bahati hai Zamin e karbala Chalo hussainiyo tumhe bulati hai zamin e karbala Hum ahle baite mustafa ke shay dayi Mahe aza me ghar ki yaad jab aayi Jo gaon pohche bol uthi yeh purwayi Hame watan ki zami dikhati hai Zamin e karbala Chalo hussainiyo tumhe bulati hai zamin e karbala Azaye sheh jo hind me manate hain Hussain ko hum apne ghar bulate hain Bahisht jaisa apna ghar sajate hain Hussain aate hain yaqee dilati hai Zamin e karbala Chalo hussainiyo tumhe bulati hai zamin e karbala Khuda ka banda aasman par pohcha Bulandiyo se nainawa ko jab dekha Zami pe aake har kisi ko batlaya Zamin jannat si jagmagati hai Zamin e karbala Chalo hussainiyo tumhe bulati hai zamin e karbala Bani jahan ki khaak hai Jo khaake shifa Bana hai iski khoon ibne shere khuda Marizo aao paao ek pal me shifa Har ek marz ki dawa banati hai Zamin e karbala Chalo hussainiyo tumhe bulati hai zamin e karbala Jahan se mar ke jaaye jab bhi shirazi Khudaya tujhse hai dua e shirazi Ke karbala me qabr paaye shirazi Suna hai aasi ko bakshwati hai Zamin e karbala Chalo hussainiyo tumhe bulati hai zamin e karbala