لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Paon Main Bediya Pehne

Ansar Jafar2020
ShiaNohaLyrics
Paon Paon mein bediyaan pehney Huwe bimaar chala Mera bimaar chala Sar jhukaye huwe Sarwar (as) ka azadaar chala Mera bimaar chala Tauq se jaqda kaheen Aur kaheen durroan ki saza Har sitam Sehta huwa .. Dee bachaney ke liye Deen ka sardaar chala Mera bimaar chala Maaein behnein sarey bazaar. Rasan basta hain Haay aazurda hain..... Bain karta huwa Iss Gham mein giraftaar chala Mera bimaar chala Saath hain Ehle haram (sa) Sar pe ridaayein bhi nahi Zulm kartey hain laeen.... Khoon aankhon se bahata Huwa qhuddar chala. Mera bimaar chala Chill gaye chaley lahoo Behney laga zakhmoan se Ashqe gham aankho se... Raahe purkhaar pe Shabbir (as) ka dildaar chala Mera bimaar chala Bediyaan Paon mein pad padke buka karti hain. Ye sada karteen hai.... Shaan e aslaaf liye Sahibey qirdaar chala Mera bimaar chala. Tegh khainche huwe lakhon The sitamgaar magar Phir bhi bekhauf o khatar.. Misley Abbas Alamdar (as) Woh jidaar chala Mera bimaar chala. Warmm hai pairoan pe aur Khaq padi hai sar mein. Kyoun na fariyaad karey.... Haay kis haal mein wo Beqaso lachaar chala. Mera Bimaar chala. Aik ek gaam pe aati thi Sada ye Gauhar Marhaba shey ke pisar... Deen qadmoan se terey Jaanib e deedaar chala Mera bimaar chala Sar jhukaaye huwe sarwar Ka azaadaar chala Mera bimaar chala Paon mein bediyaan Pehney Huwe bimaar chala Mera bimaar chala.