لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Abid Ko Safar Main

Ansar Jafar2021
ShiaNohaLyrics
Abid ko safar main sham talak itna tadpaya jaata hai, Sar samne laa kar akbar ka has has ke dikhaya jaata hai. Jis jaan pe kadam rakhte abid tar khoon se ho jaati hai zameen, Raho me musafir ki ayse kaato ko bichaya jaata hai. Uthti hai nigahe bibiyo par roo roo ke ghash kha jaate hai jab, Bazaar me apne chehro ko baalo se chupaya jaata hai. Sajjad tadap ke mar jae is waste saari bibiyo ko, Jis jaa pe bhid zyada ho uss jaa per laaya jaata hai. Khoo roo roo ke sar ghazi ka bazaar me dikhate hai abid Tatheer ki chadar ko naize pe jab lehraya jaata hai Hasrat se Sakina ko haye sajjad dilase dete hai Pyaso ke samne paani jab ootho ko pilaya jaata hai Sar zakhmi dekh kar bibiyo k yun khoon ke aanso rote hai Abid ke jigar pe lagta joh pathar barsaya jaata hai Kabhi tauq ko kheenche hai zalim kabhi pust pe maar te hai durre Har ek kadam per abid ka yeh khoon bahaya jaata hai Kyu na peete muh apne kyu roe na Ansar o Asad Sajjad ke samne maa o ko behno ko sataya jaata hai