لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Haye shaam

Arbaz Zaidi2016
ShiaNohaLyrics
Dekh manzar sham ka zainab ye chillayi aye khuda kaisi qayamat humpe hai aayi haye shaam, haye shaam, haye shaam Kal talak jis shehr ki shehzadi kehlayi us jagah taqdeer be parda mujhe laayi haye shaam, haye shaam, haye shaam 1. Saamne jiske qaza bhi kaap jati thi jiski nass nass mein wafa khoo' banke behti thi khauf se jiske zamee'n bhi thar tharati thi mai sada saaye mein jiske muskurati thi shane kata kar sogaya haye shaam, haye shaam, haye shaam 2. Aye khuda hamsheer se bhai juda na ho zulm ka khanjar ho bhai ka gala na ho koi bhi bhai kabhi nazre qaza na ho phir sitam aisa kisi par aye khuda na ho khoo'n aankho se behta raha haye shaam, haye shaam, haye shaam 3. Naaz tha abbas jaise apne bhai par baad uske phirti hu mai aaj nange sar kis tarha dekhu mai haye sharm ka manzar kis tarha chehra chupau baalo se dhak kar baaki kaha'n koi rida haye shaam, haye shaam, haye shaam 4. Jo bhi the armaan wo sab reh gaye mann mein haye wo kadiyal jawa'n bhi so gaya rann mein aur madar darr bhatakti hai waha'n bann mein hote hai armaan kya kya maa ke ek mann mein kaisa sitam ye hogaya haye shaam, haye shaam, haye shaam 5. Haye wo cheh maah ka nanha ali asghar ghutniyo chalne ke din hi aaye the jis par teen din ka bhuka pyaasa tha mera dil bar hurmula ke teer ne dhaya sitam kyu kar nanha gala chhalni kiya haye shaam, haye shaam, haye shaam 6. Haye us beemar ki halat baya'n kya ho lohe ki zanjeer mein jakda gaya jisko uski gardan mein pada tha toq bhari jo sar uthakar bhi na upar dekh sakta wo ye zulm ki hai inteha haye shaam, haye shaam, haye shaam 7. Baap se hokar juda kitna tadapti thi wo sakina shaam ke zindaa'n mein roti thi har ghadi shimr e laee'n ke zulm sehti thi taziyane khake bhi khamosh rehti thi kya kya sitam usne saha haye shaam, haye shaam, haye shaam 8. Jiske hatho'n mein thi mehendi ki abhi laali haye uski ho chuki ghodo se pamali kya baya'n ho haye us kubra ki behali jiski suni maang hai aur marr chuka wali pal bhar mein sab kuch lut gaya haye shaam, haye shaam, haye shaam 9. Kis tarha likhu tamanna sham ka manzar dar ba dar phirti hai kaise aale paighambar wo sitam dhata tha unpar shimr ka lashkar zulm ki hadd aa chuki thi sabr se baahar tadpayega usko sadaa haye shaam, haye shaam, haye shaam