لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Ana Shia

Asif Reza Khan2015
ShiaNohaLyrics
Risalalat e man - Mohammadi Wilayat e man - Alawi Ismat e man - Fatemi Baseerat e man - Hasani Sakhawat e man - Husaini Ghairat e man - Abbasi Sabr e man - Zainabi Ibadat e man - Sajjadi Shariat e man - Baqiri Mazhab e man - Jafari Aqeedat e man - Kazimi Riza e man - Rizwi Bakhshish e man - Naqavi Ziyarat e man - Taqavi Nigaah e man - Askari Ummeed e man - Mahdi Mahdi Mahdi Anaa shia..(8) 1. Risalat e man - Mohammadi Mera awwal mera akhir Mohammad se juda hoga Khuda se ibteda hogi, khuda hi inteha hoga mere maslak ke khane me anaa shia likha hoga risalat ka safar hoga, to manzil mustafa hoga 2. Wilayat e man - Alawi Aqeeda mera kehta hai wilayat ka wali malik ali ba izn e khaliq se kahin raziq kahin malik payambar se suna hai ye qaza ki zindagi malik ke jis jiska nabi maula usi ka hai ali malik 3. Ismat e man - Fatemi Ujalo me andhero ne banaya hai mera parda meri behno pe saaya hai wafa ki paak chadar ka dare zehra se ismat ka sabak kuch yu bhi hai paya janaza khana e zan ka ujalo me na padhwaya 4. Baseerat e man - Hasani Baseerat ka amal har waqt mere saath rehta hai har ek mushkil ka hal har waqt mere saath rehta hai abhi is pal ka kal har waqt mere saath rehta hai hasan ka ye amal har waqt mere saath rehta hai 5. Sakhawat e man - Husaini Sakhi malik se milta hai sakhawat ka sabak mujhko mila ghaazi ke aaqa se shuja'at ka sabak mujhko sare shabbir deta hai ibadat ka sabak mujhko ali ka laal deta hai sharafat ka sabak mujhko anaa shia..anaa shiaa Shabbir tujhpe dasht me har ek jafa rone lagi teri sakhawat dekhkar karbobala rone lagi tune sawali ko kabhi khali nahi jane diya teri raza ke rubaru rab ki raza rone lagi zalim ne abke zulm ko tera sawali kar diya is fayl par phir zulm ki har inteha rone lagi islam ko akbar diya, jafar diya, qasim diya maidan me phir chhe mahine ki sada rone lagi abbas ke bazu qalam karwa diye the deen par ghaazi ke parcham ke pharere ki hawa rone lagi auno mohammad bhi diye, hur ko bhi qurbaa kar diya phir hurmala ke teer se lipti qaza rone lagi ye silsila milta raha ashoor ke din asr tak phir asr ke hangaam me, khalq e khuda rone lagi phir sajda e mabood me shabbir ne sar dediya shabbir ke ehsaan par har inteha rone lagi is karb ke mahaul me phir wo peher bhi aagaya shame ghareeba aur zainab ki rida rone lagi 6. Ghairat e man - Abbasi Wafao se bhari lori mere kaano me aai hai mujhe madar ne meri istarha ghairat sikhai hai meri maa ki nasihat yu bhi mere kaam aai hai meri behno ko har pal yaad hai ke unka bhaai hai 7. Sabr e man - Zainabi Sitam ke rubaru paigham e haq mujhse bayaa hoga pisar ki lash par shukr e khuda lab par ayaa hoga mujhe sabir batane me sitam khud tarjumaa hoga mere har sabr par ayyub bhi nauha kuna hoga 8. Ibadat e man -  Sajjadi Mere sajde bataenge meri sajjad se nisbat zamane ko dikhaenge meri sajjad se chahat mujhe ye naaz rehta hai mere maula hai ba qudrat isi dum se adawat ki kabhi karta nahi bay'at Shariat e man - Baqiri Mazhab e man - Jafari Aqeedat e man - Kazimi Riza e man - Razawi Bakhshish e man - Naqavi Ziyarat e man - Taqavi Nigaah e man - Askari Khudaya shukr hai tera mujhe shia banaya hai shariat banke sar par hazrat e baqir ka saaya hai taharat ho ibadat ho sharafat ho ke izzat ho sabak mazhab ka saara hazrat e jafar se paaya akela takhte shahi se aqeeda ho to takrao hume ye hazrat e kazim ne khud karke bataya hai riza e kibriya pau na mai ye honahi sakta riza ke dar pe sajde me jab apna sar jhukaya hai adu ko maaf karna baar ha behtar samajhta hu hume ye dars bakhshish ka taqi maula se aaya hai kabhi batil ke aage sar jhukaega bhala kaise ke jis aqlo aqeede me naqi maula samaya hai waha par khauf momin ko kabhi jung ka nahi hoga jaha par ek dafa bhi askari ka naam aaya hai 9. Ummeed e man - Mahdi Mahdi Mahdi Meri ummeed kehti hai ke suraj phir tuloo hoga mera maula mera Mehdi mere hi rubaroo hoga mera ehwaal sunne jab wo mehwe guftagoo hoga hamara raaj phir se tab jahaa me kubakoo hoga Ummeed hai Mehdi mera phirse jahaa me aaega ummeed hai is daur ki ghatdi ko wo suljhaega ummeed hai phir deen ke parcham ko wo lehraega ummeed hai phir seena e islam ko sehlaega ummeed hai wo maslake insaniyat samjhaega ummeed hai karbal se phir paigham e haq phailaega ummeed hai phir damane islam ko bhar jaega ummeed hai zulmo jafa ko dasht me le aaega ummeed hai mazloom se zalim ka sar katwaega ummeed hai makhlooq ko khaliq ki raah dikhlaega ummeed hai irfan wo farshe azaa bichwaega ummeed hai asif se wo nauha koi padhwaega