لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Dagh kya kya na kaleje pe uthaye Abid

Asmee Kanodari2021
ShiaNohaLyrics
Dagh kya kya na kaleje pe uthaye aabid Phir bhi sajde ko Musalle pe hai Aaye aabid Kabhi pathhar se Kabhi kufe ke bazaro se Shaam tak Thokare khate huwe aaye aabid Inteha guzri hai Raaho'N me sitam ki dekho Haaye imadad ko ab Kis ko bulaye aabid Raat Taariki hai hathoN me bandhi hai rassi Kaise turbat me sakina ko sulaye aabid Sar e Mazloom se ye puchh rahi hai zainab Kab talak Shimr se Durray sahay jaye aabid Jism se haddiya'N hoti hai alag ay bhaiyya Marne waali hu mai ab maa'N ko Bataye aabid Barchhi akbar se chhudayi thi magar ay baba Kaise Daman ko sakina se Chhudaye aabid Shimr chadar ko jab has has se Dikha deta hai Khoon aankho se kayi bar Bahaye aabid Dastan jab bhi suni us ne kisi qaidi ki Lab pe ASMEE ke sada aaya hai haaye aabid