لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Hai Ibadat Hussain Ka Matam

Azadar Party2010
ShiaNohaLyrics
hai ibadat hussain ka matam hum ko quran ne ye bataya h chomty hain usay farishty bhi matami hath jab uthata h khoon bahaya na ruk saka matam zakhm banty na ruk saka matam hath katay na ruk saka matam hath katay na ruk saka matam thak k kehny lagain ye talwarain ye ibadat to mojzana h hai ibadat hussain ka matam hum ko quran ne ye bataya h nohay parhty hain nooh jaise nabi ambiya khud safain banaty hain wo ibadat h matam e shabbir arsh waly bhi kitny atay hain farsh matam ka wo mussala h jis pe kaba namaz parhta h hai ibadat hussain ka matam hum ko quran ne ye bataya h inki awaz hai azan jaise nala e haq h karbala h shan iske nishan ki mat pocho fatah e shah ki ata h yeh dagh e matam wo dagh h jis main hajr e aswad dikhai deta h hai ibadat hussain ka matam hum ko quran ne ye bataya h farsh matam ka farsh h aisa daikh kar arsh jhoomta h jise aisa sina h matami sina khoon pasina b chomta h jise matami hath hath h aisa jo k jannat k ghar banata h hai ibadat hussain ka matam hum ko quran ne ye bataya h taqat e matam e hussain bani lal sain ki taqat e parwaz yehi taghoot e la makan yehi abdullah shah ki awaz yehi nara bhi hai malangon ko yehi rasm e chalandagana h hai ibadat hussain ka matam hum ko quran ne ye bataya h taigh o shamsheer pe jo wajib thy wo bhi qarze chukaye hain isne jin pe takhdeerain naz karti hain wo muqaddar banaye hain isne yeh bachata h nar e dozakh se yehi qaidi ko hur banata h hai ibadat hussain ka matam hum ko quran ne ye bataya h khanch leta h jo naqabon ko kitna mazboot hath h iska aur haqeeqat se bhi ye waqif h khoon kis ki ragon main h kiska sath naslain ye khool deta h sub ka nam o nasab batata h hai ibadat hussain ka matam hum ko quran ne ye bataya h daikh kar iski saf main nabyon ko daikh kar iska mojzati asar daikh kar iski fazilat o azmat bat ta hogai ye gohar jo karay ga hussain ka matam matami woh shareefzada h hai ibadat hussain ka matam hum ko quran ne ye bataya h