لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Abhi Hum Zinda Hain

Baqari Brothers2020
ShiaNohaLyrics
hussain hussain hussain × 2 abhi hum zinda hain × 4 1. lakh duniya may lage kauf e waba ka pehra jaan jaati hai toh jaaye nahi koi parwa hum azadari e sarwar ke liye hain zinda kuch bhi ho matam e shabbir (jjh) toh hoga hoga yeh gham e karbobala..... kismaton se paaya zindagi ka apni hai yeh gham sarmaya silsila chalta rahega yeh sada (×2)........ 6th abhi hum zinda hain...... 2. fatema(jjh) aapke bete ka moharram hoga hum rahe ya na rahe shah ka matam hoga apni naslon may yeh gham aise rakhenge jaari ruk nahi sakti kisi daur may matamdari laak sab karte rahein zulm o jafa.......(× 2) abhi hum zinda hain....... 3. gham e karbala..... meri ruh o jaan..... azaan e aza rahegi rawan muqalif hai gar toh ho yeh jahan hai hum de chuke azal se zaban hum nibhayenge yeh wada apna (×2) gurbath e sheh pe karenge girya...... (×2) matami saari banadenge fiza (×2) abhi hum zinda hain...... 4. yeh hai jaan denay ko taiyar gham e sheh k liye waqf hai khoon e azadar gham e sheh ke liye munkir e shah ki yun dilshikani bhi hogi naam e shabbir(jjh) pe zanjeer zani bhi hogi zinda dafnaenge mufti e bidath ko (×2) hum sabhi hazir hain shah ki nusrath ko chalne denge na koi bhi fatwa (×2) abhi hum zinda hain...... 5. hum ko nahi hai jaan ke (jaane ka koi ghum)...... ×2 khaate hain khoon may shah e (shahidan ki hum khasam).......×2 hajayein horahe hain (agar haath bhi khalam)×2 har haal may uthayenge (abbas(jjh) ka alam)×2 yeh juluson ka safar hum na rukne denge...(×2) kabhi ghazi(jjh) ka alam nahi jhukne denge (×2) keh rahe hain yeh sabhi ehle aza (×2) abhi hum zinda hain...... 6. karbala bhul na jao kahin tum misle ghadeer is liye shaan se hum karte hain zikr e shabbir (jjh) surah e kaif ki bhule na zamana tafseer chand suraj ki tarah pehle wila ki tanveer khafela shah ka pyaasa tha na paya paani thi wilayat ke liye kitni badi qurbaani sun hamara paigham.... aye wilayat ke adhoo.... ishq e haider har dam humko dayta hai numuh waqf hai iske liye bas hamara yeh lahu har sama ab tak ise aise lay jainge maqsad e karbobala yun hi pohanchaengay koun rokega yeh aawaz e wila (×2) abhi hum zinda hain...... 7. gaib se dayte hain aawaz imam e hujjath (jjh) saath har lamha tumaray hai hamari nusrath yun hi karte raho tumlog aza ki khidmat zehn mein rakna gham e sibtey nabi ki hurmath har musibath tum se dur hum kardenge gowhar e hajath se jholiya bhar denge dushamno se na daro mutmaeen dil se raho hoke be khauf karo gham sheh ka (×2) abhi hum zinda hain..... 8. maqsad e karbobala hai mere moula ki wila hum na chodenge "ali yun wali ullah" ki sada sheh ne adnan o hilal iska he paigham diya koi zaalim bhi mita sakta nahi naam e khuda qatl bhi karde agar ran mein mujhe fauj e jafa kam nahi hogi kabhi sham e wilayat ki zia nok e naiza pe bhi sar bolega (×2).... abhi hum zinda hain.....(×2)